Sabse Aula O Aala Hamara Nabi ﷺ ek khoobsurat aur pur-asar Urdu Naat hai, jise Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ ne likha hai. Is kalaam mein Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ ki azmat, martaba, shaan aur fazilat ko nihayat dil-nasheen andaaz mein bayan kiya gaya hai.
Is Naat ke har sher mein Aaqa-e-Do Jahan ﷺ se mohabbat aur aqeedat ka izhar milta hai. Is page par aapko Sabse Aula O Aala Hamara Nabi lyrics in Roman Urdu aur Urdu dono mein milenge, taake aap aasani se padh saken aur yaad kar saken.

Sabse Aula O Aala Hamara Nabi Lyrics
Sabse Aula O Aala Hamara Nabi ﷺ
Sab se Baala-o-Waala Hamara Nabi ﷺ
Apne Maula Ka Pyaara Hamara Nabi ﷺ
Dono Aalam Ka Dulha Hamara Nabi ﷺ
Bazm-e-Aakhir Ka Shama-e-Firozaan Hua
Noor-e-Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi ﷺ
Jis Ko Shayan Hai Arsh-e-Khuda Par Juloos
Hai Woh Sultan-e-Waala Hamara Nabi ﷺ
Bujh Gayi Jis Ke Aage Sabhi Mashalein
Shama Woh Lekar Aaya Hamara Nabi ﷺ
Jis Ke Talwo Ka Dhowan Hai Aab-e-Hayat
Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi ﷺ
Arsh-o-Kursi Ki Theen Aaina Bandiyan
Soo-e-Haq Jab Sadhaara Hamara Nabi ﷺ
Khalq Se Auliya, Auliya Se Rusul
Aur Rasoolon Se Aala Hamara Nabi ﷺ
Husn Khaata Hai Jis Ke Namak Ki Qasam
Woh Maleeh-e-Dil Aara Hamara Nabi ﷺ
Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkoor Ho
Namkeen Husn Wala Hamara Nabi ﷺ
Jis Ki Do Boondein Hain Kausar-o-Salsabeel
Hai Woh Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi ﷺ
Jaise Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi
In Ka, Un Ka, Tumhara Hamara Nabi ﷺ
Qarnon Badli Rasoolon Ki Hoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi ﷺ
Kaun Deta Hai Dene Ko Munh Chahiye
Dene Wala Hai Sachcha Hamara Nabi ﷺ
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chhup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi ﷺ
Mulk-e-Kounain Mein Ambiya Tajdaar
Tajdaaron Ka Aaqa Hamara Nabi ﷺ
La-Makaan Tak Ujaala Hai Jis Ka Woh Hai
Har Makaan Ka Ujaala Hamara Nabi ﷺ
Saare Achhon Mein Achha Samajhiye Jise
Hai Us Achhe Se Achha Hamara Nabi ﷺ
Saare Oonchon Mein Ooncha Samajhiye Jise
Hai Us Oonche Se Ooncha Hamara Nabi ﷺ
Ambiya Se Karoon Arz Kyun Maaliko
Kya Nabi Hai Tumhara Hamara Nabi ﷺ
Jis Ne Tukde Kiye Hain Qamar Ke Woh Hai
Noor-e-Wahdat Ka Tukda Hamara Nabi ﷺ
Sab Chamak Wale Ujlon Mein Chamka Kiye
Andhe Sheeshon Mein Chamka Hamara Nabi ﷺ
Jis Ne Murda Dilon Ko Di Umar-e-Abad
Hai Woh Jaan-e-Maseeha Hamara Nabi ﷺ
Gham Zadon Ko Raza Muzhda Deeje Ke Hai
Bekason Ka Sahaara Hamara Nabi ﷺ


Sabse Aula O Aala Hamara Nabi Lyrics Urdu
سب سے اَولیٰ و اعلیٰ ہمارا نبی
سب سے بالا و والا ہمارا نبی
اپنے مولیٰ کا پیارا ہمارا نبی
دونوں عالَم کا دُولہا ہمارا نبی
بزمِ آخر کا شمعِ فروزاں ہوا
نورِ اوّل کا جلوہ ہمارا نبی
جس کو شایاں ہے عرشِ خدا پر جلوس
ہے وہ سلطانِ والا ہمارا نبی
بُجھ گئیں جس کے آگے سبھی مشعلیں
شمع وہ لے کر آیا ہمارا نبی
جس کے تلووں کا دھوون ہے آبِ حیات
ہے وہ جانِ مسیحا ہمارا نبی
عرش و کرسی کی تھیں آئینہ بندیاں
سُوئے حق جب سدھارا ہمارا نبی
خلق سے اولیا، اولیا سے رُسل
اور رسولوں سے اعلیٰ ہمارا نبی
حسن کھاتا ہے جس کے نمک کی قسم
وہ ملیحِ دل آرا ہمارا نبی
ذکر سب پھیکے جب تک نہ مذکور ہو
نمکین حسن والا ہمارا نبی
جس کی دو بوند ہیں کوثر و سلسبیل
ہے وہ رحمت کا دریا ہمارا نبی
جیسے سب کا خدا ایک ہے ویسے ہی
ان کا، اُن کا، تمہارا ہمارا نبی
قرنوں بدلی رسولوں کی ہوتی رہی
چاند بدلی کا نکلا ہمارا نبی
کون دیتا ہے، دینے کو منہ چاہیے
دینے والا ہے سچا ہمارا نبی
کیا خبر کتنے تارے کھلے چھپ گئے
پر نہ ڈوبے نہ ڈوبا ہمارا نبی
مُلکِ کونین میں انبیا تاجدار
تاجداروں کا آقا ہمارا نبی
لامکاں تک اُجالا ہے جس کا وہ ہے
ہر مکاں کا اُجالا ہمارا نبی
سارے اچھوں میں اچھا سمجھیے جسے
ہے اُس اچھے سے اچھا ہمارا نبی
سارے اونچوں میں اونچا سمجھیے جسے
ہے اُس اونچے سے اونچا ہمارا نبی
انبیا سے کروں عرض کیوں مالکو!
کیا نبی ہے تمہارا ہمارا نبی
جس نے ٹکڑے کیے ہیں قمر کے وہ ہے
نورِ وحدت کا ٹکڑا ہمارا نبی
سب چمک والے اجلوں میں چمکا کیے
اندھے شیشوں میں چمکا ہمارا نبی
جس نے مردہ دلوں کو دی عمرِ ابد
ہے وہ جانِ مسیحا ہمارا نبی
غمزدوں کو رضا مژدہ دیجے کہ ہے
بیکسوں کا سہارا ہمارا نبی
About the Poet – Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ
Sab Se Auliya-o-Aala Hamara Nabi ﷺ ke shayar Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ hain, jinhein Aala Hazrat ke naam se bhi jaana jaata hai.
Aap رحمۃ اللہ علیہ Bar-e-Sagheer ke mashhoor Islami aalim, mufti aur sahib-e-deewan shayar the. Aapki naatiya shayari mein Huzoor Nabi-e-Kareem ﷺ se bepanah mohabbat, adab aur aqeedat ka izhar milta hai.
Aapka mashhoor naatiya majmua Hadaiq-e-Bakhshish Urdu naatiya adab mein ek aham maqam rakhta hai. Sabse Aula-O-Aala Hamara Nabi ﷺ bhi isi naatiya kalaam se mansoob hai.
▶️ Sab Se Aula o Aala Hamara Nabi | Alhaj Owais Raza Qadri
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –


