
Tulue Shamso Qamar Se Pehle,
Main Tujh Pe Aaqa Durood Bheju
Har Ek Shaamo Sahar Se Pehle,
Main Tujh Pe Aaqa Durood Bheju
Safar Ka Aaghaz Jab Karun Main,
Mere Labon Par Ho Naam Tera
Palat Ke Aaun to Ghar Se Pehle,
Main Tujh Pe Aaqa Durood Bheju
Khuda Ki Bheji Kitaab Tu Hai,
Mera to Saara Nisaab Tu Hai
Husoole Ilmo Hunar Se Pehle,
Main Tujh Pe Aaqa Durood Bheju
Hai Raunaqe Kainaat Tujh Se,
Hara Hai Nakhle Hayaat Tujh Se
Shajar Pe Bargo Samar Se Pehle,
Main Tujh Pe Aaqa Durood Bheju
Main Apne Bachchon Mein Baith Kar Bhi
Sunaun Badro Uhud Ki Baatein
Kashmakashe Khairo Shar Se Pehle,
Main Tujh Pe Aaqa Durood Bheju
Bas Ek Hubbe Rasool Fakhri,
Main Apne Wirse Mein Chhod Jaaun
Is Ikhtitaame Safar Se Pehle,
Main Tujh Pe Aaqa Durood Bheju
Poet: Zahid Fakhri


Tulue Shamso Qamar Se Pehle Lyrics Urdu
طلوعِ شمس و قمر سے پہلے میں تجھ پہ آقا درود بھیجوں
ہر ایک شام و سحر سے پہلے میں تجھ پہ آقا درود بھیجوں
سفر کا آغاز جب کروں میں , میرے لبوں پر ہو نام تیرا
پلٹ کے آؤں تو گھر سے پہلے میں تجھ پہ آقا درود بھیجوں
خدا کی بھیجی کتاب تو ہے میرا تو سارا نصاب تو ہے
حصولِ علم و ہنر سے پہلے میں تجھ پہ آقا درود بھیجوں
ہے رونقِ کائنات تجھ سے ہرا ہے نخلِ حیات تجھ سے
شجر پہ برگ و ثمر سے پہلے میں تجھ پہ آقا درود بھیجوں
میں اپنے بچوں میں بیٹھ کر بھی سناؤں بدر و احد کی باتیں
کشاکشِ خیر و شر سے پہلے میں تجھ پہ آقا درود بھیجوں
بس ایک حبِ رسول فخری میں اپنے ورثہ میں چھوڑ جاؤں
اس اختتامِ سفر سے پہلے میں تجھ پہ آقا درود بھیجوں
شاعر: زاہد فخری
YT Video | Tulue Shamso Qamar Se Pehle
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –


