Yajuj Majuj ka zikr Islam ki un aham nishaniyon mein hota hai jin ka talluq Qiyamat ke qareeb pesh aane wale waqiaat se hai. Qur’an-e-Kareem mein Surah Al-Kahf ke andar Hazrat Zulqarnain رضی اللہ عنہ aur Yajuj Majuj ke darmiyan banayi gayi mazboot deewar ka tafseeli waqia bayan hua hai. Iske alawa Surah Al-Anbiya mein bhi unke khurooj ka zikr milta hai.
Lekin Yajuj Majuj kon hain, Hazrat Zulqarnain رضی اللہ عنہ ne unhein rokne ke liye Yajuj Majuj Wall kaise banayi, aur woh deewar kab tootegi? In sawalon ke jawab Quran-e-Kareem aur Ahadees ki roshni mein samajhna zaroori hai.

Is article mein hum Yajuj Majuj ke baare mein Qurani ayaat, Tafseer e Quran Siratul Jinan aur sahih Ahadees ki roshni mein maloomat hasil karenge.
Yajuj Majuj Kon Hai?
Mukhtasar jawab: Yajuj Majuj do bohat badi insani jamaatein hain jo Hazrat Adam علیہ السلام ki aulad mein se hain aur zameen mein fasad machane wali thin. Hazrat Zulqarnain ne lohe aur pighle hue taambe ki deewar bana kar unhein rok diya. Qayamat ke qareeb jab Allah ka hukm hoga to yeh deewar toot jayegi aur woh nikal padenge. Phir Hazrat Isa علیہ السلام ki dua se Allah unhein halaak kar dega.
Yajooj Majooj, Hazrat Nooh علیہ السلام ke farzand Yafis ki nasal se hone wala ek giroh hain, jinki tadaad bahut zyada hogi. Sahih Ahadees se bhi maloom hota hai ke Yajooj Majooj, Hazrat Adam علیہ السلام ki aulad mein se hain.
Tafseer ki baaz riwayaat mein bayan kiya gaya hai ke deewar banne se pehle Yajooj Majooj apne ilaqon se nikalte aur raaste mein aane wali kheti, sabza aur paani ko khatam kar dete the. Kuch riwayaat mein unke shadeed fasaad aur nuqsan pahunchane ka bhi zikr milta hai. Yaha tak ki Insano aur Janwaro ko khane tak ka fasaad phailayenge aur jab zameen par koi nahi bachega to asmaan me teer marenge, Allah Taala ki hikmat se teer khoon se lag kar wapas ayegi aur wo samjhenge ki humne asmaano walo ko bhi mar diya. (Surah Al Kahf Ayat 94)
Yajooj Majooj Ki Tadad
Yajooj Majooj ki tadad aur kasrat ka andaza is hadees se hota hai jismein Qayamat ke din Allah Ta’ala Hazrat Adam علیہ السلام se Jahannam mein jaane walon ki jamaat alag karne ka farmayega. Jab is jamaat ki tadaad ke bare mein poocha jayega, to farmaya jayega ke har hazaar (1000) mein se nau sau ninyanwe (999) afraad Jahannam walon mein se honge.
Is par Nabi-e-Kareem ﷺ ne Sahaba-e-Kiram ko samjhaya ke yeh bahut badi tadaad Yajooj Majooj mein se hogi, jabke tum mein se ek hoga. Yani 999 jahannum wale aur 1 hum honge. Yeh hadees Yajooj Majooj ki kasrat ko wazeh karti hai aur Qayamat ke din ki sakhti ka ehsaas dilati hai. (Sahih Bukhari 3348, Sahih Muslim 222)
Yajuj Majuj in Quran
Yajooj Majooj ka zikr Surah Al-Kahf (18:84-99) mein aur Surah Al-Anbiya (21:96) mein aata hai. Surah Al-Kahf mein ek qaum ne Hazrat Zulqarnain se shikayat ki:
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
قَالُوْا یٰذَا الْقَرْنَیْنِ اِنَّ یَاْجُوْجَ وَ مَاْجُوْجَ مُفْسِدُوْنَ فِی الْاَرْضِ فَهَلْ نَجْعَلُ لَكَ خَرْجًا عَلٰۤى اَنْ تَجْعَلَ بَیْنَنَا وَ بَیْنَهُمْ سَدًّا(۹۴)
Tarjuma (Kanz-ul-Irfan): Unhon ne kaha: Ae Zulqarnain! Beshak Yajooj aur Majooj zameen mein fasad machane wale log hain, to kya hum aap ke liye kuch maal muqarrar kar dein is baat par ke aap hamare aur unke darmiyan ek deewar bana dein. (Surah Kahf: 92-94)
Hazrat Zulqarnain Kon The?
Hazrat Zulqarnain ka naam Iskandar tha aur Zulqarnain aap ka laqab tha. Baaz tafseeri aqwaal mein aap ka Hazrat Khizr علیہ السلام se qareebi rishta bhi bayan kiya gaya hai.
Laqab “Zulqarnain” ki wajah ke bare mein mufassireen ne mukhtalif aqwaal bayan kiye hain. In mein se chand mashhoor aqwaal yeh hain:
- Mashriq aur Maghrib tak safar: Aap duniya ke mashriqi aur maghribi ilaqon tak pahunche, jahan se suraj ke tuloo aur ghuroob hone ka mushahida kiya.
- Sar par do ubhaar: Ek qaul ke mutabiq, aap ke sar par do ubhaar ya singhon jaisi nishaniyan thin.
- Zahiri aur batini ilm: Ek tafseeri qaul yeh hai ke aap ko zahiri aur batini uloom se nawaza gaya tha.
- Andheron aur roshni mein safar: Ek aur qaul ke mutabiq, aap andheron aur roshni wale ilaqon mein dakhil hue.
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
اِنَّا مَكَّنَّا لَهٗ فِی الْاَرْضِ وَ اٰتَیْنٰهُ مِنْ كُلِّ شَیْءٍ سَبَبًاۙ (84)
Tarjuma (Kanz-ul-Irfan): “Beshak hum ne use zameen mein iqtidaar diya aur use har cheez ka ek samaan ata farmaya.”
Tafseer (Sirat-ul-Jinan): Is ayat mein bayan kiya gaya hai ke Allah Ta’ala ne Hazrat Zulqarnain ko zameen mein iqtidaar aur hukoomat ata farmayi. Saath hi, unhein zaroori wasail aur unhein hasil karne ke tareeqe bhi diye, jin ki madad se woh apne maqsad tak pahunch sakte the.
Tafseer Khazin ke mutabiq, Allah Ta’ala ne aap ko woh asbaab ata farmaye jo mamalik aur shehron ko fatah karne, dushmanon ka muqabla karne aur hukoomat chalane ke liye zaroori hote hain. (Surah Al-Kahf, Ayat 84; Tafseer Sirat-ul-Jinan, Tafseer Khazin, 3/223)
Duniya Par Hukoomat Karne Wale Chaar Badshah
Baaz tafseeri kitabon mein ek qaul naqal kiya gaya hai ke duniya par wasee hukoomat karne wale chaar badshah guzre: do momin aur do kafir. Is qaul ke mutabiq, momin badshahon mein Hazrat Zulqarnain رضی اللہ عنہ aur Hazrat Sulaiman علیہ السلام, jabke kafir badshahon mein Namrood aur Bakht-e-Nasr ka naam liya jata hai.
Kya Hazrat Zulqarnain Nabi the?
Is mein ikhtilaf hai. Sirat-ul-Jinan ke mutabiq Hazrat Ali کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم ne farmaya ke woh na nabi the na farishta, balki Allah se muhabbat karne wale bande the, jinhein Allah ne mehboob banaya.
Allah Ta’ala ne un ke baare mein farmaya ke humne use zameen mein iqtidar diya aur har cheez ka saman ata kiya. (Surah Al-Kahf 18:84)
Hazrat Zulqarnain Ke Teen Safar
Quran-e-Kareem ki Surah Al-Kahf mein Hazrat Zulqarnain ke teen safaron ka zikr milta hai. Allah Ta’ala ne aap ko zameen mein qudrat aur hukoomat ata farmayi thi, saath hi apne maqsad tak pahunchne ke liye zaroori asbaab bhi diye the. Aap ne apne safaron ke dauran insaaf aur hikmat ke saath muamlaat kiye.

1. Maghrib Ki Taraf Safar
Hazrat Zulqarnain ne maghrib ki taraf safar kiya, yahan tak ke aap ko suraj ghuroob hota hua nazar aaya. Wahan aap ko ek qaum mili. Allah Ta’ala ne aap ko ikhtiyar diya ke unke saath saza ya bhalai ka muamla karein.
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
فَاَتْبَعَ سَبَبًا(85) حَتّٰۤى اِذَا بَلَغَ مَغْرِبَ الشَّمْسِ وَجَدَهَا تَغْرُبُ فِیْ عَیْنٍ حَمِئَةٍ وَّ وَجَدَ عِنْدَهَا قَوْمًا۬ؕ-قُلْنَا یٰذَا الْقَرْنَیْنِ اِمَّاۤ اَنْ تُعَذِّبَ وَ اِمَّاۤ اَنْ تَتَّخِذَ فِیْهِمْ حُسْنًا(86) قَالَ اَمَّا مَنْ ظَلَمَ فَسَوْفَ نُعَذِّبُهٗ ثُمَّ یُرَدُّ اِلٰى رَبِّهٖ فَیُعَذِّبُهٗ عَذَابًا نُّكْرًا(87) وَ اَمَّا مَنْ اٰمَنَ وَ عَمِلَ صَالِحًا فَلَهٗ جَزَآءَ اﰳلْحُسْنٰىۚ- وَ سَنَقُوْلُ لَهٗ مِنْ اَمْرِنَا یُسْرًاﭤ(88)
Tarjuma (Kanz-ul-Irfan): Hazrat Zulqarnain ek raaste par chale. Yahan tak ke jab suraj ghuroob hone ki jagah pahunche, to unhein suraj aisa nazar aaya jaise woh siyah kichar ke chashme mein doob raha ho. Wahan unhein ek qaum mili, to Allah Ta’ala ne farmaya ke tum chaho to unhein saza do ya unke saath achha muamla karo. Kaha: “Baharhaal jis ne zulm kiya to anqareeb hum use saza denge, phir woh apne Rab ki taraf lautaya jayega to Woh use bahut bura azaab dega. Aur baharhaal jo imaan laya aur usne nek amal kiya to uska badla bhalai hai aur anqareeb hum us se aasaan kaam kahenge.” (Surah Kahf: 85-88)
2. Mashriq Ki Taraf Safar
Iske baad Hazrat Zulqarnain ne mashriq ki taraf safar kiya. Quran batata hai ke aap ek aisi qaum tak pahunche jinke liye suraj se bachne ka koi khaas parda ya saaya bayan nahi kiya gaya.
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
ثُمَّ اَتْبَعَ سَبَبًا(89) حَتّٰۤى اِذَا بَلَغَ مَطْلِعَ الشَّمْسِ وَجَدَهَا تَطْلُعُ عَلٰى قَوْمٍ لَّمْ نَجْعَلْ لَّهُمْ مِّنْ دُوْنِهَا سِتْرًاۙ (90) كَذٰلِكَؕ-وَ قَدْ اَحَطْنَا بِمَا لَدَیْهِ خُبْرًا(91)
Tarjuma (Kanz-ul-Irfan): Phir woh ek raste ke peeche chala. Yahan tak ke jab sooraj tuloo hone ki jagah pahuncha to use ek aisi qaum par tuloo hota hua paya jin ke liye Hum ne sooraj se koi aarr nahi rakhi thi. Baat isi tarah hai aur jo kuch us ke paas tha sab ko Hamara ilm muheet hai. (Surah Kahf: 89-91)
3. Do Pahaaron Ke Darmiyan Safar
Phir Hazrat Zulqarnain ne ek aur raasta ikhtiyar kiya aur do pahaaron ke darmiyan pahunche. Wahan aap ko aisi qaum mili jo mushkil se baat samajh paati thi. Un logon ne Yajooj Majooj ke fasaad ki shikayat ki aur arz ki ke agar Hazrat Zulqarnain unke aur Yajooj Majooj ke darmiyan ek rukawat bana dein, to woh is kaam ke liye maal dene ko tayyar hain.
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
ثُمَّ اَتْبَعَ سَبَبًا(92) حَتّٰۤى اِذَا بَلَغَ بَیْنَ السَّدَّیْنِ وَجَدَ مِنْ دُوْنِهِمَا قَوْمًاۙ-لَّا یَكَادُوْنَ یَفْقَهُوْنَ قَوْلًا(93) قَالُوْا یٰذَا الْقَرْنَیْنِ اِنَّ یَاْجُوْجَ وَ مَاْجُوْجَ مُفْسِدُوْنَ فِی الْاَرْضِ فَهَلْ نَجْعَلُ لَكَ خَرْجًا عَلٰۤى اَنْ تَجْعَلَ بَیْنَنَا وَ بَیْنَهُمْ سَدًّا(94)
Tarjuma (Kanz-ul-Irfan): Phir woh ek aur raste ke peeche chala. Yahan tak ke jab do pahaaron ke darmiyan pahuncha to us ne un pahaaron ke aage ek aisi qaum ko paya jo koi baat samajhte maloom na hote the. Unhon ne kaha, “Ae Zulqarnain! Beshak Yajooj aur Majooj zameen mein fasaad machane wale log hain, to kya hum aap ke liye kuch maal muqarrar kar dein is baat par ke aap hamare aur unke darmiyan ek deewar bana dein?” (Surah Kahf: 92-94)
Hazrat Zulqarnain Ki Deewar
Jab Yajooj Majooj ke fasaad se pareshan qaum ne Hazrat Zulqarnain se madad ki darkhwast ki, to unhon ne apne aur Yajooj Majooj ke darmiyan ek mazboot rukawat banane ka faisla farmaya. Un logon ne is kaam ke badle maal dene ki peshkash ki, lekin Hazrat Zulqarnain ne maal lene ke bajaye unse apni jismani taqat aur mehnat ke zariye madad karne ko kaha.
Aap ne farmaya ke mere Rab ne mujhe jo qudrat aur wasail ata kiye hain, woh tumhare maal se behtar hain. Tum bas apni taqat se mera saath do, main tumhare aur Yajooj Majooj ke darmiyan ek mazboot deewar bana doonga.
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
قَالَ مَا مَكَّنِّیْ فِیْهِ رَبِّیْ خَیْرٌ فَاَعِیْنُوْنِیْ بِقُوَّةٍ اَجْعَلْ بَیْنَكُمْ وَ بَیْنَهُمْ رَدْمًاۙ(۹۵) اٰتُوْنِیْ زُبَرَ الْحَدِیْدِؕ-حَتّٰۤى اِذَا سَاوٰى بَیْنَ الصَّدَفَیْنِ قَالَ انْفُخُوْاؕ-حَتّٰۤى اِذَا جَعَلَهٗ نَارًاۙ-قَالَ اٰتُوْنِیْۤ اُفْرِغْ عَلَیْهِ
قِطْرًاؕ(۹۶) فَمَا اسْطَاعُوْۤا اَنْ یَّظْهَرُوْهُ وَ مَا اسْتَطَاعُوْا لَهٗ نَقْبًا(۹۷)
Tarjuma (Kanz-ul-Irfan): Zulqarnain ne kaha: Jis cheez par mujhe mere Rab ne qaboo diya hai woh behtar hai, to tum meri madad quwwat ke saath karo, main tumhare aur unke darmiyan ek mazboot rukawat bana doonga. Mere paas lohe ke tukde lao, yahan tak ke jab woh deewar dono pahaaron ke kinaron ke darmiyan barabar kar di to kaha: Aag dhonkao. Yahan tak ke jab us lohe ko aag kar diya to kaha: Mujhe do taake main is garam lohe par pighla hua taamba undel doon. To Yajooj Majooj na us par chadh sake aur na us mein suraakh kar sake. (Surah Kahf: 95-97)
Deewar Ki Tameer Ke Marahil
Tafseer Sirat-ul-Jinan mein Tafseer Khazin, Madarik aur Jalalain ke hawalon se deewar ki tameer ke chand marahil bayan kiye gaye hain. In tafseelaat ko samajhne ke liye neeche asaan alfaaz mein pesh kiya gaya hai:
- Lohe ke tukde jama karna: Hazrat Zulqarnain ne qaum se lohe ke bade-bade tukde mangwaye, jinhein deewar banane ke liye istemal kiya gaya.
- Bunyaad tayyar karna: Tafseeri bayan ke mutabiq, deewar ki bunyaad ke liye zameen khodi gayi, yahan tak ke gehrai tak pahunch kar use mazboot banaya gaya.
- Lohe ko jama karna: Lohe ke tukdon ko dono pahaaron ke darmiyan is tarah rakha gaya ke darmiyani jagah bhar gayi aur ek mazboot rukawat ki shakal banne lagi.
- Aag se garam karna: Lohe ke tukdon ke darmiyan lakri aur koyla rakh kar aag jalayi gayi. Phir aag ko dhonk kar lohe ko nihayat garam kiya gaya.
- Pighla hua taamba undelna: Jab loha bahut garam ho gaya, to us par pighla hua taamba undela gaya, jis se deewar ki mazbooti aur barh gayi.
- Dono pahaaron ke darmiyan jagah bharna: Deewar ko is tarah tayyar kiya gaya ke dono pahaaron ke darmiyan se Yajooj Majooj ke guzarne ka raasta band ho gaya.
Tafseer mein yeh bhi likha hai ke Yajooj Majooj na is par chadh sake (bulandi aur chikna pan ki wajah se) aur na neeche se suraakh kar sake (sakhti aur motai ki wajah se).
Yajooj Majooj Wall Location
Tafseer Sirat-ul-Jinan mein Yajooj Majooj ki deewar ka maqam Turkistan ke mashriqi kinare ke ilaqe mein bataya gaya hai. Lekin Quran-e-Kareem aur sahih Ahadees se deewar ki mojooda jagah ka qatai tayyun nahi hota. Is liye kisi khaas jagah ko yaqini taur par Yajooj Majooj ki deewar qarar dena durust nahi. Allah Ta’ala hi behtar jaanta hai.
Deewar mukammal hone ke baad Hazrat Zulqarnain ne is kaam ko apni zaati taqat ka kamaal qarar dene ke bajaye Allah Ta’ala ki rehmat bataya.
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
قَالَ هٰذَا رَحْمَةٌ مِّنْ رَّبِّیْۚ-فَاِذَا جَآءَ وَعْدُ رَبِّیْ جَعَلَهٗ دَكَّآءَۚ-وَ كَانَ وَعْدُ رَبِّیْ حَقًّاؕ(۹۸)
Tarjuma (Kanzul Irfan): Zulqarnain ne kaha: Zulqarnain ne kaha: Yeh mere Rab ki rehmat hai, phir jab mere Rab ka wada aayega to ise pash pash kar dega aur mere Rab ka wada sacha hai. (Surah Al-Kahf: 98)
Yajooj Majooj Ki Deewar Khodne Ki Hadees
Tafseer Sirat-ul-Jinan mein Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالیٰ عنہ se ek riwayat naqal ki gayi hai ke Rasoolullah ﷺ ne Yajooj Majooj ke deewar khodne ka zikr farmaya. Riwayat ke mutabiq, woh roz deewar khodte hain, lekin jab use todne ke qareeb pahunchte hain to unka sardar kehta hai ke kal aakar baqi kaam mukammal karenge. Jab woh agle din lautte hain, to deewar pehle ki tarah mazboot ho chuki hoti hai.
Jab unke nikalne ka muqarrar waqt aayega, to unka sardar kahega ke InshaAllah, kal hum baqi kaam mukammal karenge. Riwayat ke mutabiq, is baar woh lautenge to deewar usi haal mein hogi jaisa woh use chhor kar gaye the, aur woh use tod kar nikal jayenge. Sunan Ibn Majah (4080)
Inshallah Ki Barkat
Is riwayat se yeh sabaq liya jata hai ke insaan ko apne mustaqbil ke irade bayan karte waqt Allah Ta’ala ki mashiyat ko yaad rakhna chahiye. Isi liye hamein apne aane wale kaamon ke bare mein InshaAllah kehna chahiye, yani agar Allah ne chaha.
Yajooj Majooj Kab Niklenge?
Yajooj Majooj ka khuruj Qayamat ke qareeb zahir hone wali badi alamaton mein se Ek hai. Quran-e-Kareem ki Surah Al-Kahf mein unke nikalne aur logon ki kasrat ka zikr milta hai.
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ
وَ تَرَكْنَا بَعْضَهُمْ یَوْمَىٕذٍ یَّمُوْجُ فِیْ بَعْضٍ وَّ نُفِخَ فِی الصُّوْرِ فَجَمَعْنٰهُمْ جَمْعًاۙ(۹۹)
Tarjuma (Kanzul Irfan): Aur is din hum unhein chhor denge ke un ka ek giroh doosre par sailaab ki tarah aayega aur Sur mein phoonk maari jayegi to hum sab ko jama kar layenge. (Surah Al-Kahf: 99)
Yajooj Majooj Ke Nikalne Ka Waqia
Hazrat Nawwas bin Sam’an رضی اللہ تعالیٰ عنہ se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne Dajjal aur Hazrat Isa علیہ السلام ke waqiaat ke baad Yajooj Majooj ke khuruj ka zikr farmaya.
Is riwayat ke mutabiq waqiaat ka silsila yeh hoga:
- Dajjal ka fitna zahir hoga aur Hazrat Isa علیہ السلام uska khatma farmayenge.
- Iske baad Allah Ta’ala, Hazrat Isa علیہ السلام ko wahi farmayega ke woh momineen ko Koh-e-Toor par le jayen, kyunki Yajooj Majooj ka khuruj hone wala hoga aur unka muqabla karna kisi ke bas mein nahi hoga.
- Phir Yajooj Majooj nikal padenge aur buland jagahon se tezi ke saath utarte hue phail jayenge.
Riwayat ke mutabiq, Yajooj Majooj ka pehla giroh Bahira-e-Tabariya se guzrega aur uska paani pee jayega. Jab baad mein doosra giroh wahan pahunchega, to kahega ke yahan kabhi paani hua karta tha.
Phir woh aasman ki taraf teer phenkenge, jo Allah Ta’ala ki qudrat se khoon aalooda hokar wapas girenge. Is tarah unhein ghalat fehmi hogi ke unhon ne aasman walon ko bhi maar diya hai. (Sahih Muslim: 2937)
Yeh waqiaat Ahadees mein bayan hue hain aur Allah Ta’ala ki qudrat aur Yajooj Majooj ke fitne ki shiddat ko zahir karte hain.
Hazrat Isa علیہ السلام ki dua aur Yajuj Majuj ka Anjaam
Yajooj Majooj ke nikalne ke baad Hazrat Isa علیہ السلام aur momineen sakht mushkil mein mubtala honge. Woh Allah Ta’ala se dua karenge, phir Allah apni qudrat se Yajooj Majooj ka khatma farma dega.
- Koh-e-Toor par panah: Hazrat Isa علیہ السلام aur momineen Yajooj Majooj ke fasaad se bachne ke liye Koh-e-Toor par chale jayenge.
- Allah Ta’ala se dua: Jab halaat nihayat sakht ho jayenge, to Hazrat Isa علیہ السلام aur unke saathi Allah Ta’ala se madad talab karenge.
- Yajooj Majooj ki halakat: Allah Ta’ala unki gardanon mein ek qisam ka keera paida farma dega, jis se woh sab ek saath mar jayenge.
- Zameen par laashon ka dher: Hazrat Isa علیہ السلام aur momineen pahaar se neeche aayenge to zameen par Yajooj Majooj ki laashon aur unki badbu ki wajah se sakht pareshani hogi.
- Parindon ke zariye laashon ka hataya jana: Hazrat Isa علیہ السلام aur momineen ki dua ke baad Allah Ta’ala bade parinday bhejega, jo unki laashon ko utha kar wahan le jayenge jahan Allah chahega.
- Hathiyaron ka jalaya jana: Iske baad Musalman Yajooj Majooj ke teer, kamaan aur tarkash ko saat saal tak jalayenge.

Zameen Par Barkaton Ka Lautna
Iske baad hadees mein zameen par barkaton ke lautne ka zikr aata hai. Allah Ta’ala zameen ko dobara khushhali aur barkat se bhar dega. Yeh waqia yaad dilata hai ke sakht tareen aazmaish ke baad bhi Allah Ta’ala apne bandon ke liye aasani aur rehmat ke darwaze khol sakta hai.
Sahih Muslim: 2937, Mazeed tafseel ke liye Tafseer Sirat-ul-Jinan aur Bahar-e-Shariat
Frequently Asked Questions – FAQs
Conclusion
Yajooj Majooj ka waqia Quran-e-Kareem mein Hazrat Zulqarnain ki deewar ke zariye bayan kiya gaya hai. Surah Al-Kahf ki ayaat 83–99 mein unki shikayat, deewar ki tameer aur Allah Ta’ala ke waade par uske tootne ka zikr milta hai. Quran aur Sahih Ahadees ke mutabiq, Yajooj Majooj ka khurooj Qiyamat ki aham nishaniyon mein se hai.
Unke nikalne, zameen par fasaad phailane aur phir Allah Ta’ala ke hukm se unki halakat ka zikr Ahadees mein tafseel se aata hai. Yeh waqia humein Allah Ta’ala ki bepanah qudrat aur uske waade ki sachchai ki yaad dilata hai. Allah Ta’ala hi behtar jaanta hai ke in waqiaat ka zahoor kab hoga.
Allah Ta’ala humein Qiyamat ke fitnon se mehfooz farmaye aur apni rehmat se nawaze. Aameen.
Aapke liye sawal: Kya aap ne Surah Al-Kahf mein Hazrat Zulqarnain aur Yajooj Majooj ka waqia pehle parha tha? Apni rai comments mein share karein aur mazeed Islami maloomat ke liye IslamIsTheGreat.com par hamare doosre articles bhi parhein.


