Moajiza-e-Khaybar: Maula Ali رضي الله عنه Par Zahir Hone Wala Noorani Moajiza

Islami tareekh me Ghazwa-e-Khaybar ek aisi jung hai jahan sirf tegh o tir ka muqabla nahi balki imaan, yaqeen aur moajiza ka jalwa bhi saaf taur par nazar aata hai. Nabi Kareem ﷺ ke beshumar moajizaat me se ek azeem moajiza Maula Ali رضي الله عنه par zahir hua, jo aaj tak logon ke liye hidayat aur haibat ka zariya bana hua hai.
Is blog me hum seedhe, asaan aur dil ko chhoone wale alfaaz me woh waqiya bayan karenge jo har musalmaan ke imaan ko taaza kar deta hai.
Moajiza: Nabi se jahir hone wale wo amal jis se insaan ki aqal samajhne me se qasir rahe. Aapﷺ ke beshumar moajizaat hai. unhi me se ek ye moajiza hai jo maula ali par jahirhua ha.
Moajiza-e-Khaybar: Maula Ali رضي الله عنه Par Zahir Hone Wala Noorani Moajiza

Ghazwa-e-Khaybar

Khaybar Madinah Munawwarah se lagbhag 150 km door north side par ek ilaqa tha jahan Yahudi qabail ke andar 7 bohot mazboot qile maujood the. Har qila apne andar aik choti si “army” rakhta tha.
Yahudi qabail aksar:
  • Musalmano ke dushman qabail ko support karte,
  • Ahd-shikni karte,
  • Aur Madina ke aman ko challenge karte.
Is liye Khaybar ka khatma lazmi ho chuka tha. aur iski wajah Ghazwa-e-Khaybar bani.
Badar, Uhud aur Ahzab ke baad Yahudi logo ne phir se sazishen shuru ki.
Akhiri Hazrat Nabi Kareem ﷺ ne sahaba ko saath liya aur Muharram 7 Hijri me Khaybar ka rukh kiya.
Muslim fauj takriban 1,600 ke qareeb thi, jabke Khaybar ke quwwatwar qilon me hazaron muqabil dushman maujood the.

Qilay Dar Qila Fateh Hota Gaya

Khaybar ke qile aik ek karke fateh hote gaye:
  • Naim
  • Sa’ab ibn Mu’adh
  • Natat
  • Aur baqi mazboot qile
Lekin sabse mushkil qila tha Qamus, jo Marhab jaise bahadur lashkar-e-yahood ka markaz tha.
Khaybar

Do Lashkaron Ki Wapsi

Khaybar ka qila Qamus bohot mazboot tha. Musalmaan baar baar koshish kar rahe the, magar fatah hasil na ho rahi thi.
Rasoolullah ﷺ ne pehle Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه ko lashkar ke sath bheja, phir Hazrat Umar Farooq رضي الله عنه ko lekin Khaibar fatah na ho saka.
Jab dono jama’aton ko wapas laaya gaya, sahaba samajh gaye ke ab koi khaas hukm hone wala hai.

Nabi Kareem ﷺ ki Bashaarat: “Kal Jhanda Usko Doonga…”

Raat ka waqt hua jang band hui, ab bhi Khayber ka qila fatah nahi ho paya, is surat me Huzoorﷺ ne sahaba ke darmiya ailan kiya aur irshad farmaya jo
Sahabi-e-Rasool Hazrat Sahl bin Saad رضي الله عنه riwayat karte hain:

Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Kal main ye jhanda us shakhs ko doonga jiske haath Allah Ta’ala fatah ata karega.
Woh Allah aur uske Rasool ﷺ se muhabbat karta hai,
aur Allah aur uska Rasool ﷺ bhi usse muhabbat karte hain.”

Subah jab sahaba jama huye, har ek ke dil me ye tamannah thi ke shayad aaj jhanda unhe mile.
Magar Nabi ﷺ ne poocha:
“Ali ibn Abi Talib kahan hain?”
Arz kiya gaya:
“Ya RasoolAllah ﷺ! Unki aankhen dard se pareshan hain.”

Moajiza-Rasool ﷺ

Huzoorﷺ ne Hazrat Ali ko bulane ka hukm diya gaya aur Hazrat Ali رضي الله عنه ko bulaya gaya. Hazrat Ali aye to Huzoorﷺ ne dekha Hazrat Ali aankh ke dard me mubtila hai,Huzoorﷺ ne unhe apne paas bithaya aur Nabi Kareem ﷺ ne apna lu’aab e mubarak unki dardmand aankhon par lagaya. Luaab ka lagana tha ki foran unki aankhen bilkul theek hogayi! Jaise kabhi dard tha hi nahi.
Ye sirf ilaaj nahi, Ye moajiza tha, nubuwwat ka nishaan tha, aur Maula Ali رضي الله عنه ki fazilat ka aala saboot. Kyuki jis par Moajizaat jahir hote hai wo bahot badhi fazilat ka hamil hota hai.
Masihaai ke foran baad Rasoolullah ﷺ ne fatah ka jhanda unhe ata farma diya.
mosque, masjid al-nabawi, medina, minarets, religion, architecture, building, city, islam, historic, muslim, madinah al-munawarah, travel, mosque, mosque, mosque, mosque, medina, medina, medina, medina, medina, islam, muslim, muslim

Maula Ali ka Sawal Aur Nabi ﷺ ka Jawab

Hath me Alam e Islam ka Alam lekar Maula Ali رضي الله عنه ne Huzoor ﷺ se arz kiya;
“Ya RasoolAllah ﷺ! Kya main unse us waqt tak ladun jab tak wo musalmaan na ho jayein?”
Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya:

Narmi ikhteyar karna,
Pehle unhe Islam ki dawat dena,
Aur unhe Allah ke huqooq bayan karna,
Allah ki qasam!
Tumhare zariye agar ek shakhs ko bhi hidayat mil jaye,
to ye tumhare liye surkh oont se zyada qeemti hai.”

Ye jumla sirf Maula Ali رضي الله عنه ke liye nahi balki poori ummat ke liye paigham hai ki Da’wat-e-Islam ka asal mizaj hai: Narmi, Hikmat aur Rahmat.

Conclusion

Ghazwa-e-Khaybar ka ye moajiza Musalmaan ummah ke liye roohani quwwat ka zariya hai. Ye waqiya batata hai ke jab banda ikhlaas se Nabi ﷺ ka sahara le, to dard bhi dur hota hai aur fatah bhi naseeb hoti hai.

References

  • Sahih Bukhari, Vol 5, Pg 170 — Kitab al-Jihad — Hadith 3009
  • Sahih Bukhari, Kitab al-Maghazi — Hadith 4210
  • Sahih Muslim, Vol 4, Pg 210 — Kitab Fazail-e-Sahaba — Hadith 2406

Aapki Raaye Hamare Liye Aham Hai!
Agar aapko yeh Mazmoon pasand aaya ho ya aapke dil mein koi sujhaav ho, toh neeche comment zaroor karein. Aapka feedback humein behtar content banane mein madad karta hai.
Dosto ke saath bhi share karna na bhoolen!
Shukriya!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر

Scroll to Top