Dil Jo Toota Huzoor Yaad Aaye Lyrics | Dil Ko Rulane Wali Naat 2026

Dil Jo Toota Huzoor Yaad Aaye Lyrics ek pur-asar aur jazbaat se bhara naatiya kalaam hai, jismein Huzoor Muhammad ﷺ ki yaad aur mohabbat ka khoobsurat izhar milta hai. Is kalaam mein shayar ne zindagi ke mukhtalif lamhaat, tanhai, gham, sajde aur ishq-e-haqeeqi ke ehsaas ko Huzoor ﷺ ki yaad ke saath joda hai.

Is page par aapko Dil Jo Toota Huzoor Yaad Aaye ki mukammal Urdu aur Roman Urdu lyrics milengi, taake aap is khoobsurat kalaam ko asaani se padh saken.

Dil Jo Toota Huzoor Yaad Aaye Lyrics

Dil Jo Toota Huzoor Yaad Aaye Lyrics

Dil Jo Toota Huzoor ﷺ Yaad Aaye
Ashk Nikla Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Soch Kar Yeh Ke Main Akela Hoon
Main Jo Roya Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Naat e Sarwar ﷺ Mein Doob Kar Jab Bhi
Khud Ko Bhoola Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Garaz-o-Ghayat Ki Bhari Duniya Mein
Jab Main Nikla Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Woh Khuda Ke Qareeb Hai Itna
Jisko Jitna Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Be-Khudi Mein Jo Aankh Bhar Aayi
Zabt Bikhra Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Falsafa e Ishqe Haqeeqi Kya Hai
Main Jo Samjha Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Ibne Haider Hussain Ke Gham Mein
Dil Jo Tadpa Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Kaun Har Baar Bharam Rakhta Hai
Jab Bhi Socha Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Raat Sajda Kiya Khuda Ke Liye
Sar Uthaya Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Meri Aankhon Ne Pehli Baar Ziya
Kaaba Dekha Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Main Ne Sadaat Ke Haathon Ko Ziya
Jab Bhi Chooma Huzoor ﷺ Yaad Aaye

Read also:  Ya Mustafa Ata Ho Phir Izn Hazri Ka - Beautiful Madina Hazri Naat

Poet: Alhaj Muhammad Rafiq Zia Qadri

Dil Jo Toota Huzoor Yaad Aaye Lyrics in Urdu

دل جو ٹوٹا حضور  یاد آئے
اشک نکلا حضور یاد آئے

سوچ کر یہ کے میں اکیلا ہوں
میں جو رویا حضور یاد آئے

نعتِ سرور میں ڈوب کر جب بھی
خود کو بھولا حضور یاد آئے

غرض و غایت کی بھری دنیا میں
جب میں نکلا حضور یاد آئے

وہ خدا کے قریب ہے اتنا
جس کو جتنا حضور یاد آئے

بے خودی میں جو آنکھ بھر آئی 
ضبط بکھرا حضور یاد آئے 

فلسفہ عشق حقیقی کیا ہے
میں جو سمجھا حضور یاد آئے 

ابنِ حیدر حسین کے غم میں
دل جو تڑپا حضور یاد آئے 

کون ہر بار بھرم  رکھتا ہے 
جب بھی سوچا حضور یاد آئے

رات سجدہ کیا خدا کے لئے 
سر اٹھایا حضور یاد آئے

میری آنکھوں نے پہلی بار ضیاء
کعبہ دیکھا حضور یاد آئے

میں نے سادات کے کے ہاتھوں کو ضیاء
جب بھی چوما حضور یاد آئے

About the Poet – Alhaj Muhammad Rafiq Zia Qadri

Alhaj Muhammad Rafiq Zia Qadri Pakistan ke mashhoor contemporary naatiya shayar aur naat khwan hain, jin ka talluq Lahore se hai. Aap Urdu aur Punjabi zaban mein apne aqeedat-bhare kalaam ke liye pehchane jaate hain. Zia ke takhallus se shayari karne wale Alhaj Muhammad Rafiq Zia Qadri ke kalaam mein Huzoor ﷺ se be-panah mohabbat, Ahl-e-Bayt se aqeedat aur maa ki azmat ka pur-asar izhar milta hai.

▶️ Dil Jo Toota Huzoor Yaad Aaye


– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –


Scroll to Top