Introduction
“Hazir Hai Dar-e-Daulat Pe Gada” ek aisa Naatia kalaam hai jismein ek ummati apni be-basi aur aajizi ka izhar karte hue Sarkar ﷺ ki tawajjoh ka talabgaar nazar aata hai.
Is kalaam mein “Tan-Man-Jaan Fida”, “Aansoo Aansoo Hai Fariyaadi” aur “Dhadkan Dhadkan Deti Hai Sada” jaise alfaaz mohabbat aur aqeedat ke jazbaat ko numaya karte hain.

Hazir Hai Dare Daulat Pe Gada Naat Lyrics
Hazir Hai Dar-e-Daulat Pe Gada, Sarkar Tawajjoh Farmayein
Mohtaaj-e-Nazar Hai Haal Mera, Sarkar Tawajjoh Farmayein
Main Kab Aane Ke Qabil Tha, Rehmat Ne Yahan Tak Pahunchaya
Sarkar ﷺ Pe Tan-Man-Jaan Fida, Sarkar Tawajjoh Farmayein
Main Kar Ke Sitam Apni Jaan Par, Quran Se “Jaa’ooka” Sun Kar
Aaya Hoon Bahut Sharminda Sa, Sarkar Tawajjoh Farmayein
Aansoo Aansoo Hai Fariyaadi, Aur Arz-e-Karam Hichki Hichki
Dhadkan Dhadkan Deti Hai Sada, Sarkar Tawajjoh Farmayein
Ek Main Hi Nahin Poori Ummat, Saari Duniya, Saari Khalqat
Takti Hai Rasta Rehmat Ka, Sarkar Tawajjoh Farmayein


Mohtaj Nazar Hai Haal Mera Lyrics in Urdu
حاضر ہے درِ دولت پہ گدا، سرکار توجہ فرمائیں
محتاجِ نظر ہے حال مرا، سرکار توجہ فرمائیں
میں کب آنے کے قابل تھا، رحمت نے یہاں تک پہنچایا
سرکار پہ تن من جان فدا، سرکار توجہ فرمائیں
میں کر کے ستم اپنی جاں پر، قرآن سے “جَاءُوكَ” سُن کر
آیا ہوں بہت شرمندہ سا، سرکار توجہ فرمائیں
آنسو آنسو ہے فریادی، اور عرضِ کرم ہچکی ہچکی
دھڑکن دھڑکن دیتی ہے صدا، سرکار توجہ فرمائیں
ایک میں ہی نہیں پوری امت، ساری دنیا ساری خلقت
تکتی ہے رستہ رحمت کا، سرکار توجہ فرمائیں
▶️ Sarkar Tawajjo Farmaye | Owais Raza Qadri
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –


