Lamyati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics Meaning

Note / Disclaimer: “Lamyati Nazeero Kafi Nazarin” Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ka likha hua paak o pakiza kalam hai. Ala Hazrat ne is kalam ko kis waqt, kis mauqe par aur kis khas khayal ke sath likha, iska asal ilm sirf Allah Ta’ala aur Uske Habeeb Muhammad ﷺ hi behtar jante hain.
Hum yahan sirf lafzi ma’anā samajhne ki koshish karte hue, ishq o muhabbat ke jazbe ke sath iske ash’aar ki sharah (tashreeh) “Lamyati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics Meaning” pesh kar rahe hain.
Asl Naat apni jagah mukammal hai, yeh sharah sirf samajhne aur seekhne ke liye hai.

Lamyati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics Meaning

Lamyati Nazeero Kafi Nazarin Lyrics Meaning and Translation

01

Lam Yaati Nazeeruka Fi Nazarin
 Misle To Na Shud Peda Jaanaa
Jag Raaj Ko Taaj Tore Sar So
 Hai Tujh Ko Shahe Dosra Jaanaa

Urdu Lyrics

لَم یَاتِ نَظیرُکَ فِی نَظَرٍ — مثل تو نہ شد پیدا جانا
جگ راج کو تاج تورے سر سوہے — تجھ کو شہ دوسرا جانا

Word Meaning:

  • Nazeer: Misaal, Humsar
  • Misl: Jaisa
  • Jag: Duniya, Jahaan
  • Suhe: Sajna, Zeenat Dena
  • Shah: Badshah

Meaning:

Aap Ke Jaisa Hum Ne Dekha Hi Nahi
Aap Ke Misl Koi Paida Hi Nahi Hua
Duniya Ki Badshaahi Ka Taaj Sirf Aap Ke Hi Sar Par Sajta Hai
Hum Aap Ko Dono Jahano Ka Badshaah Jante Hai.

English Meaning:

Your equal has not come in any sight,
 A like of you has not been born,
The crown of the world’s kingdom only suits your head, 
we know & Accepte you as the King of both the worlds.

02

Al-Bahru Alaa Wal Mawju Tagaa 
Man Be Kas o Tufaa(n) Hosh Rubaa
Manjhdhaar Mai Hu Bigdi Hai Hawaa 
Mori Nayya Paar Lagaa Jaanaa

Urdu Lyrics

اَلْبَحْرُ عَلَا وَالْمَوْجُ طَغٰی — من بیکس و طوفاں ہوش رُبا
منجدھار میں ہوں بگڑی ہے ہوا — موری نیَّا پار لگا جانا

Word Meaning:

  • Al-Bahr: Samandar
  • Al-Mauj: Lehar
  • Tagha: Hadd Se Barhna
  • Bekas: Be-Sahara
  • Hosh-Ruba: Hosh Uda Dene Wala
  • Manjhdhar: Darya Ke Beech Wala Hissa
  • Naiya: Kashti

Meaning:

Samundar Bulandi Par Hai Aur Mawje Shakhtgeer Hai
Mai Be-kash Hu Aur Tafaan Hosh Uda Raha Hai
Mai Bhanwar Me Hu, Hawa Tez Ho Rahi Hai
Meri Naw Ko Par Laga Do, Ise Kinare Par Le Ao

English Meaning:

The Sea Has Risen And The Waves Are Oppressive,
I Am Helpless And The Storm Is Breathtaking
I Am In A Whirlpool And The Winds Are Enraging
Take My Boat And Place It At Shore.

03

Yaa Shamsu Nazarti Ilaa Layli 
Cho Ba Taybah Rasi Arze Bukuni
Tori Jawt Ki Jhal Jhal Jag Mai Rachi 
Meri Shab Ne Na Din Hona Jaanaa

Urdu Lyrics

یَاشَمْسُ نَظَرْتِ اِلٰی لَیْلِیْ — چو بطیبہ رسی عرضے بکنی
توری جوت کی جھل جھل جگ میں رَچی — مری شب نے نہ دن ہونا جانا

Word Meaning:

  • Shams: Sooraj
  • Laili: Raat
  • Jot: Noor, Roshni

Meaning:

Aye Suraj Tune Meri Raat Dekhi Hai?
Jo Tu Tayba Gaya To Mera Arz Kahna
Tumhari Roshni Se Duniya Chamak Rahi Hai
Lakin Meri Raat Ne Din Nahi Dekha, Ise Bhi Din Dikha De
(Yaha Raat Se Musibat, Kamjor Iman Aur Din Se Hidyat Aur Khusi Muraad Ki Ja Sakti Hai)

English Meaning:

O Sun! You Have Seen My Night?
When You Pass By Taybah Tell Of My State,
The Twinkle Of Your Light Has Shone The World
But My Night Has Yet To See Day.

04

Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal 
Khat Haalaye Mah Zulf Abre Ajal
Tore Chandan Chandr Paro Kundal 
Rahmat Ki Bharan Barsaa Jaanaa

Urdu Lyrics

لَکَ بَدْرٌ فِی الْوَجْہِ الْاَجْمَلْ — خط ہالۂ مہ زُلف اَبرِ اَجَل
تورے چندن چندر پرو کنڈل — رحمت کی بھرن برسا جانا

Word Meaning:

  • Badr: Poora Chaand
  • Wajh: Chehra
  • Zulf: Baal, Gesu
  • Abr: Baadal
  • Kundal: Kaan Ka Zevar
  • Rahmat: Meherbani

Meaning:

Aap Ka Khubsurat Chahra Mubarak Poora Mukammal Chand Ki Tarah Hai
Aap Ki Zulf Mubarak Chand (Chahra) Ko Ayese Ghere Hue Jaise Barish Hone Wali Ho
Tumhare Chandan(Baal) Chandr (Chahra) Ko Kaseer Gol(Circle) Me Ghere Hue Hai.
(Yaha Kaha Ja Raha Hai Ki Jo Chand Par Gherao Jo Wo Barish Aane Ki Nishani Hai)
Aaqa ﷺ Aakar Rahmat Ki Barish Barsa Jao

English Meaning:

You Have A Full Moon In Your Most Handsome Face,
The Hair A Halo Around The Moon And The Tresses A Cloud Ready To Rain,
Your Sandalwood (Hair) Surrounds Your Chand(Face) In Big Circles.
Come And Shower Rain Full Of Mercy.

05

Anaa Fi Atashiw Wa Sakhaaka Atam
Aye Gesoo e Paak Ai Abre Karam
Barsan Haare Ram Jhim Ram Jhim 
Do Boond Idhar Bhi Ghiraa Jaanaa

Urdu Lyrics

اَنَا فِیْ عَطَشٍ وَّسَخَاکَ اَتَمْ — اے گیسوئے پاک اے ابرِ کرم
برسن ہارے رم جھم رم جھم — دو بوند اِدھر بھی گرا جانا

Word Meaning:

  • Atash: Pyaas, Jalan
  • Abr-e-Karam: Karam Ka Baadal

Meaning:

Mai Pyasa Hu Aur Aap Ki Sakhawat Bahot Mukammal Hai
Aye Gesu E Paak, Aye Karam Ke Badal
Rim Jhim Rim Jhim Rahmat Ki Barish Baras Rahi Hai
Do Boond Idhar(Yani Mujh Par) Gira Jao, Najr E Karam Farmao

English Meaning:

I Am Thirsty And Your Generosity Is Most Complete,
O Holy Hair O Cloud Of Mercy
Your Rain Falls Lightly Pitter Patter Pitter Patter,
Come And Shower A Couple Of Drops Here Too.

06

Yaa Qafilati Zeedi Ajalak Rahme
Bar Hasrate Tashna Labak
Mora Jeera Larje Darak Darak
Taybah Se Abhi Na Sunaa Jaanaa

Urdu Lyrics

یَاقَافِلَتِی زِیْدِیْ اَجَلَکْ — رحمے بر حَسْرتِ تِشْنہ لَبَک
مورا جِیَرا لَرجے دَرَک دَرَک — طیبہ سے ابھی نہ سنا جانا

Word Meaning:

  • Qafila: Musafiron Ka Giroh
  • Hasrat: Shadeed Tamanna
  • Tishna-Lab: Pyaasa
  • Jiyara: Dil

Meaning:

Aye Mere Qafile Ke Log, Apni Qayaam Ki Muddat Badha Do
Mere Payas(Rahmat Ki Payas) Ki Hasrat Me Mare Ontho Ko Dekho,
Mera Dil Dhadak Dhadak Kaanp Raha Hai
Abhi Tayba Se Jaane Ki Khabar Na Sunana

English Meaning:

O My Caravan, Increase Your Stay,
Show Mercy To The Thirsty Desirous Lips
My Heart Is Beating Thump Thump,
Don’t Now Come And Say It’s Time To Leave.

07

Waahan Li Suway’aatin Zahabat
Aa(N) Ahde Huzoor Baar Gahat
Jab Yaad Aawat Mohe Kar Na Parat
Dardaawah Madeene Kaa Jaanaa

Urdu Lyrics

وَاھًا لِسُوَیْعَاتٍ ذَھَبَتْ — آں عَہْدِ حُضُورِ بارگہت
جب یاد آوَت موہے کر نہ پرت — دردا وہ مدینہ کا جانا

Word Meaning:

  • Ahd: Zamana, Daur
  • Bargah: Darbar

Meaning:

Ah Afsos! Wah Chand Qaleel Ghadiya Gujar Gayi
Aapﷺ Ke Waqar e Darbaar Me Gujare Hue
Jab Aata Hai To Mujhe Bahot Taqleef Hoti Hai
Aah! Madine Sharif Ka Jaana

English Meaning:

How wonderful were the moments that have gone,
spent in the court of your eminence,
When I reminisce, I can’t comprehend how trouble
Regretly! The journey to Madinah.

08

Al-qalbu Shajiw Wal-hammu Shajoo(N)
Dil Zaar Chunaa Jaa Zere Chunoo
Pat Apni Bipat Mai Kaa Se Kahu
Mera Kon Hai Tere Siwa Jaanaa

Urdu Lyrics

اَلْقَلْبُ شَجٍ وَّالْھَمُّ شُجُوْن — دِل زَار چُناں جاں زیر چُنُوں
پت اپنی بپت میں کاسے کہوں — مرا کون ہے تیرے سوا جانا

Word Meaning:

  • Al-Qalb: Dil
  • Al-Hamm: Fikr, Pareshani
  • Bipat: Museebat

Meaning:

Dil Jakhmi Hai, Pareshaniya Rang Rang Ki Hai
Dil Ro Raha, Zindagi Preshani Me Hai
Ghamgheen Pareshani Mai Apni Kis Se Kahu?
Mera Kaun Hai Ya Rasoolallahﷺ Aap Ke Siwa Meri Zindagi Me

English Meaning:

The Heart Is Injured And The Emotions Are Grieved,
The Heart Is Crying, The Mind And Soul Are Afflicted More,
Your Honor, Who Shall I Tell Of My Pain,
Who Do I Have Beside You O Beloved Life!

09

Ar-roohu Fidaaka Fa Zid Harqaa
Yak Sho’laa Digar Barzan Ishqaa
Mora Tan Man Dhan Sab Phoonk Diya
Yeh Jaan Bhi Pyaare Jalaa Jaanaa

Urdu Lyrics

اَلرُّوْحُ فِدَاکَ فَزِدْ حَرْقًا — یک شُعْلہ دِگر بَرزَن عِشْقًا
مورا تن من دھن سب پھونک دیا — یہ جان بھی پیارے جَلا جانا

Word Meaning:

  • Fida: Qurban
  • Shu’la: Aag Ki Lapet
  • Digar: Doosra, Mazeed

Meaning:

Jaan Aap Par Qurban Hai, Is Ishq Ki Aag Ko Aur Badhao
Apne Ishq Ki Ek Aur Chingari Dalo
Mera Tan, Man, Dhan Sab Is Ishq Ki Aag Me Bhook Diya
Ab Ye Sirf Jaan Bachi, Ise Bhi Is Ishq Me Jala Do

English Meaning:

The Soul Is Devoted To You, Increase The Fire,
Add Yet Another Flame Of Your Love
You Have Blown Me, My Body And My Wealth Away,
Come And Burn This Life Too O Beloved!

10

Bas Khaamaye Khaam Nawaaye Raza,
Na Yeh Tarz Meri Na Yeh Rang Meraa
Irshade Ahibba Naatiq Thaa
Naa-chaar Iss Raah Paraa Jaana

Urdu Lyrics

بس خامۂ خام نوائے رضاؔ — نہ یہ طرز مری نہ یہ رنگ مِرا
اِرشادِ اَحِبَّا ناطِق تھا — ناچار اِس راہ پڑا جانا

Word Meaning:

  • Khama: Qalam
  • Nawa: Aawaz, Sada
  • *Ahibba: Dost, Ahbab
  • Na-Chaar: Majboor, Laachaar
  • Irshad: Farman, Rehnumai
  • *Natiq: Bolne Wala, Bayan Karne Wala

Meaning:

Is Na-tajrub E Kaar Se Qalam Se Bas Ye Raza Ki Sada Hai
Na Ye Andaz Mera Hai, Na Ye Mayyar(Mijaz) Hai
Doston Ki Irshad, Faryad Thi
Is Tarah Ka Kalam Padhne Ki
(Na-char: Na Kar, Aalahazrat Yaha Ajezi Ke Taur Par Khud Ko Kaha Hai)

English Meaning:

Enough! Weak Pen; Voice Of Raza,
Neither Is This My Fashion Nor Is It My Manner,
It Was The Request Of Loved Ones That Was Speaking,
My Poor Self Had Fallen On This Path.

(Kamal e Aalahazrat: Ulma ka bayan hai ki Aalahazrat ne Maqte me guwahi/faryad ke taur jo 2 word use kiye hai, *Ahibba aur *Natiq ye ba-taur e word nahi balki ye do naam bhi hai. Ahibba aur Natiq se murad do shuara (Poets) hain. In mein ek Natiq naam ke shair guzre hain aur doosre Hazrat Maulana Mehboob Bakhri رحمۃ اللہ علیہ aap ke Ahl-e-Khilafat hain, jinhon ne chaar zabanon mein Naat likhne ka irshad farmaya tha, to aap ne in ki faryad par is kalam ko likha. SUBHANALLAH 💐)

Lamyati Nazeeruka | Nagmat e Raza | Abdul Habib Attari

Is video mein Lamyati Nazeero Kafi Nazarin ke har sher aur couplet ko baari-baari samjhaya gaya hai. Aap video ke saath lyrics ko follow kar sakte hain aur har couplet ka asaan matlab mein samajh sakte hain.


Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Ala Hazrat ke Kalaam to waise hi hame mast kar dete hai lakin ab jab aap is ki sharah samjh gay aur ab sunenge to mast do bala ho jaye Huzoor ﷺ ke ishq ki chasni me.

Agar aapko yeh paakiza kalam aur iski sharah pasand aur samajh me aayi, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.

Agar samjhne me ya padhne me koi dikkat ayi ho to use comment me mention kare, use hum bahtar banane ki koshish karenge.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –

Scroll to Top