
Kaunain Mein Us Moonis-o-Gham Khwaar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Hai Kaun Bhala Ahmad-e-Mukhtar ﷺ Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Mahboob-e-khuda Nabi Ke Sardaar ﷺ Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Hai Kaun Bhala Ahmad-e-Mukhtar ﷺ Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Kya Is Mein Ajab Kah Diya Sidra Ke Makeen Ne, Jibreel-e-Ameen Ne
Dekha Na Koi Sayyad-e-Abrar ﷺ Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Siddiq Ho, Farooq Ho, Usman-e-Ghani Ho, Ya Maula Ali Ho
Hai Yaar Kahan Duniya Mein In Chaar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Wo Maula Ali Sher-e-khuda, Fateh-e-khaibar, Daamad-e-Payambar
Laayen Na Koi Haidar-e-Karrar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Aye Chaand Tera Husn-o-Jamaal Apni Jagah Hai, Bilal Apni Jagah Hai
Aaya Na Koi In Ke Khareedaar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Aye Bagh-e-Iram Teri Bahaaron Mein Naheen Hai, Hazaaron Mein Naheen Hai
Taiba Ke Haseen Aur Gul-o-Gulzaar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Palta Hai Sada Aap Ke Tukdon Pe Zamaana, Hasnain Ke Nana ﷺ
Darbaar Kahan Aap Ke Darbaar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Is Urs Ke Mauqe Pe Samaan Khoob Bandha Aaj, Dulha Hai Bana Taaj
Ye Noor Chamakta Hai Us Anwaar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Aye Saailo Daaman-e-Niyazi Zara Bhar Lo, Aur Jholiyaan Bhar Lo
Jhadta Hai Yahan Phool Chaman Zaar Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Gulzar Koi Aur Haseen Ho To Batao, Kahin Ho To Dikhao
Kaunain Mein Us Paikar-e-Anwaar ﷺ Ke Jaisa, Sarkar ﷺ Ke Jaisa
Poet: Syed Shah Gulzar Ismail Wasti Qadri (Gulzar-e-Millat)


Sarkar Ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa Lyrics Urdu
کونین میں اُس مونس و غم خوار کے جیسا، سرکار کے جیسا
ہے کون بھلا احمدِ مختار کے جیسا، سرکار کے جیسا
محبوبِ خدا نبی کے سردار کے جیسا، سرکار کے جیسا
ہے کون بھلا احمدِ مختار کے جیسا، سرکار کے جیسا
کیا اس میں عجب کہہ دیا سدرہ کے مکیں نے، جبریلِ امیں نے
دیکھا نہ کوئی سیدِ ابرار کے جیسا، سرکار کے جیسا
صدیق ہوں، فاروق ہوں، عثمانِ غنی ہوں، مولا علی ہوں
ہے یار کہاں دنیا میں ان چار کے جیسا، سرکار کے جیسا
وہ مولا علی شیرِ خدا، فاتحِ خیبر، دامادِ پیغمبر
لائے نہ کوئی حیدرِ کرار کے جیسا، سرکار کے جیسا
اے چاند تیرا حسن و جمال اپنی جگہ ہے، بلال اپنی جگہ ہے
آیا نہ کوئی ان کے خریدار کے جیسا، سرکار کے جیسا
اے باغِ ارم تیری بہاروں میں نہیں ہے، ہزاروں میں نہیں ہے
طیبہ کے حسین اور گل و گلزار کے جیسا، سرکار کے جیسا
پلتا ہے سدا آپ کے ٹکڑوں پہ زمانہ، حسنین کے نانا
دربار کہاں آپ کے دربار کے جیسا، سرکار کے جیسا
اس عرس کے موقع پہ سماں خوب باندھا آج، دلہا ہے بنا تاج
یہ نور چمکتا ہے اُس انوار کے جیسا، سرکار کے جیسا
اے سائلوں! دامنِ نیازی ذرا بھر لو، اور جھولیاں بھر لو
جھڑتا ہے یہاں پھول چمن زار کے جیسا، سرکار کے جیسا
گلزار کوئی اور حسیں ہو تو بتاؤ، کہیں ہو تو دکھاؤ
کونین میں اُس پیکرِ انوار کے جیسا، سرکار کے جیسا
شاعر: سید شاہ گلزار اسماعیل قادری (گلزارِ ملت)
YT Video | Sarkar Ke Jaisa | Sayyed Abdul Wasi
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –


