Wo Sue Lalazar Phirte Hai Lyrics | Kalam e Raza

Wo Sue Lalazar Phirte Hai Lyrics | Kalam e Raza

Roman Urdu

Wo Sue Lalazar Phirte Hai
Tere Din Aye Bahaar Phirte Hain

Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Hain
Dar Badar Yun Hi Khaar Phirte Hain

Aah Kal Aish To Kiye Hum Ne
Aaj Woh Be-Qaraar Phirte Hain

Unke Eema Se Dono Baagon Par
Khail-e-Lail O Nahaar Phirte Hain

Har Charagh-e-Mazaar Par Qudsi
Kaise Parwana Waar Phirte Hain

Us Gali Ka Gada Hoon Main Jis Mein
Maangte Tajdaar Phirte Hain

Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye
Kyun Adu Gird-e-Ghaar Phirte Hain

Phool Kya Dekhun Meri Aankhon Mein
Dasht-e-Tayyiba Ke Khaar Phirte Hain

Lakhon Qudsi Hain Kaam Khidmat Par
Lakhon Gird-e-Mazaar Phirte Hain

Vardiyan Bolte Hain Harkaaray
Pehra Dete Sawaar Phirte Hain

Rakhiye Jaise Hain Khanazad Hain Hum
Maula Ke Aibdaar Phirte Hain

Haaye Ghaafil Woh Kya Jagah Hai Jahan
Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain

Baayein Raste Na Ja Musafir Sun
Maal Hai Raah Maar Phirte Hain

Jaag Sansaan Ban Hai Raat Aayi
Gurg Behr-e-Shikaar Phirte Hain

Nafs Ye Koi Chaal Hai Zalim
Jaise Khaasay Bijaar Phirte Hain

Koi Kyun Poochhe Teri Baat Raza
Tujh Se Kuttay Hazaar Phirte Hain

اردو

وہ سُوئے لالہ زار پِھرتے ہیں 
تیرے دِن اے بہار پِھرتے ہیں

جو تِرے در سے یار پِھرتے ہیں 
در بدر یُوں ہی خوار پِھرتے ہیں

آہ کل عیش تو کیے ہم نے
آج وہ بے قرار پِھرتے ہیں

ان کے اِیما سے دونوں باگوں پر
خیلِ لیل و نہار پِھرتے ہیں

ہر چراغِ مزار پر قُدسی
کیسے پروانہ وار پِھرتے ہیں

اُس گلی کا گدا ہوں میں جس میں 
مانگتے تاجدار پِھرتے ہیں

جان ہیں جان کیا نظر آئے
کیوں عَدو گِردِ غار پِھرتے ہیں

پُھول کیا دیکھوں میری آنکھوں میں 
دشتِ طیبہ کے خار پِھرتے ہیں

لاکھوں قُدسی ہیں کام خدمت پر 
لاکھوں گِردِ مزار پِھرتے ہیں

وردیاں بولتے ہیں ہرکارے
پہرہ دیتے سوار پِھرتے ہیں

رکھیے جیسے ہیں خانہ زاد ہیں ہم
مَوْل کے عیب دار پِھرتے ہیں

ہائے غافِل وہ کیا جگہ ہے جہاں 
پانچ جاتے ہیں چار پِھرتے ہیں

بائیں رستے نہ جا مسافِر سُن
مال ہے راہ مار پِھرتے ہیں

جاگ سنسان بن ہے رات آئی
گُرگ بہرِ شِکار پِھرتے ہیں

نفس یہ کوئی چال ہے ظالم
جیسے خاصے بِجار پِھرتے ہیں

کوئی کیوں پُوچھے تیری بات رضاؔ
تجھ سے کتّے ہزار پِھرتے ہیں

Is khoobsurat kalam ko sun’ne ke liye neeche di gayi video dekhiye.


Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
Neeche apna feedback likhna na bhoolen!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر


Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top