Note / Disclaimer:
Yeh kalam “Wo Kamale Husne Huzoor Hai Sharah” Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi رحمة الله عليه ka likha hua hai. Hum yahan sirf iske ash’aar ki sharah aur tashreeh pesh kar rahe hain taa’ke pad’ne walon ko iske ma’anī, ishq o adab ke pehlu aur ilmī nuktāt samajhne mein aasani ho. Yeh sharah sirf samajhne ke liye hai, na ke asl kalam ka badal. Asl kalam apni jagah mukammal aur be-misaal hai.
1
Wo Kamale Husne Huzoor Hai
Ke Gumaan-e-Naqs Jahan Nahin
Yehi Phool Khaar Se Door Hai
Yehi Shama Hai Ke Dhuaan Nahin
وہ کمالِ حُسنِ حضور ہے کہ گمانِ نَقْص جہاں نہیں
یہی پھول خار سے دور ہے یہی شمع ہے کہ دُھواں نہیں

Word Meaning:
- Guman: Khayal
- Naqs: Ayeb, Kami
- Khaar: Kaanta
- Shama’a: Candle, Chirag
Tashreeh/Explanation:
Aaqa e Do Jahan Huzoor Purnoorﷺ ke Husn ka wo Kamaal hai ki aap ke Husn me Ayeb kya Ayeb ka Khayal bhi nahi hai. Ji Beshak Phool bahot Khoobsurat hote hai lakin un me kaanta ek Ayeb hai lakin Huzoor Purnoorﷺ ke Lab Phool, Dahan Phool, Zaqan Phool, Badan Phool par ye Phool kaanto se Be-Ayeb hai. Isi Tarah Chirag se Dhua koi Juda nahi kar sakta Dhua hona Shama’a ke liye Ayeb lakin Huzoor Purnoorﷺ wo Shama’a e Risalat hai ki is Shama’a me Dhua bhi nahi. Beshak Huzoor Purnoorﷺ Allah ki Ata se Tamam Ayeb, Ayen e Guman se Paak hai.
Sahabi e Rasoolﷺ Hazrat Hassan bin Sabitرضي الله عنه Farmate hai na;
“Wa Ahsanu Minka Lam Tara Qattu Ayeini
Wa Ajmalu Minka Lam Talidi’n nisaa
Khuliqta Mubarraan Min Kulli Ayeb
Ka Annaka Qad Jhalaqta kamaa Tashaa”
2
Do Jaha Ki Bahtariyan Nahi
Ki Amani e Dil wa Jaan Nahi
Kaho Kya Hai Wah Jo Yaha Nahi
Magar Ek “Nahi” Ki Wah Haa Nahi
دو جہاں کی بہتریاں نہیں کہ امانیٔ دل و جاں نہیں
کہو کیا ہے وہ جو یہاں نہیں مگر اک ’’نہیں ‘‘ کہ وہ ہاں نہیں

Word Meaning:
- Amani: Aram, Sukoon
Tashreeh/Explanation:
Dono Jaha ki Bhalaiya, Duniya wa Akhirat ka Sukoon, Dil o Jaan ki tamannao ka poora hona, kya koi ayesi Na’amat hai jo Huzoorﷺ ke dar par nahi milti, beshak ayesi koi cheej nahi jo Huzoor ke Qadmo se na mile, lakin haa ek cheej hai jo nahi milti hai wo hai “laa”(Nahi), aap ke dar se koi sail kabhi nahi sunta.
Az-khud Aalahazrat ek aur Kalam me Farmate hai
“Waah Kya Judo Karam Hai Shah e Batha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Wala Tera”
3
Mai Nisaar Tere Kalaam Par
Mili Yuh To Kis Ko Juban Nahi
Wah ¹Sukhan Hai Jis Me ²Sukhan Na Ho
Wah Bayan Hai Jis Ka Bayan Nahi
میں نثار تیرے کلام پر مِلی یُوں تو کِس کو زباں نہیں
وہ سخن ہے جس میں سخن نہ ہو وہ بیاں ہے جس کا بیاں نہیں

Word Meaning:
- Nisaar: Qurban
- ¹Sukhan: Baat, Kalaam
- ²Sukhan: Ayetraaz
Tashreeh/Explanation:
Ya Rasoolallahﷺ mai aap ke kalaam par Qurbaan hi jau,Yuh to bahoto ko Juban mili lakin aap sa koi nahi, Har ki har baat la-saani hai, Aap ke kalaam(baat) me Ayetraaz ki gunjaish hi nahi, bade bado ne aap ke kalaam ke aage Sar e Tasleem kham kar liya.
Ek Shaer Farmate hai na;
“Keh uthe Besakhta sun ker Fasihane Arab
Ho nahi sakti bashar ki Mustafa ki Guftagu”
4
Ba-Khuda Khuda Ka Yahi Hai Dar
Nahi Aur Koi Mafarr Maqarr
Jo Waha Se Ho Yahi Aake Ho
Jo Yaha Nahi To Waha Nahi
بخدا خدا کا یہی ہے در نہیں اور کوئی مَفَر مَقَر
جو وہاں سے ہو یہیں آکے ہو جو یہاں نہیں تو وہاں نہیں

Word Meaning:
- Ba-Khuda: Khuda ki Qasm
- Mafarr: Bhagne Ki Jagah
- Maqarr: Panah ki Jagah
- (Mafarr Maqarr Dono ek saath istemaal hote hai jis ka meaning banta hai “Bhaagne ki Jagah Jaha Panah mile”)
Tashreeh/Explanation:
Qasam Khuda ki Jo Allah ka Dar hai wahi Huzoorﷺ ka Dar Hai, Is ke ilawa kahi aur Panah ki Jagah nahi, is dar ke ilawa kahi aur Aman wa Sukoon Nahi,To jo Allah ke dar hai wo Mustafa ke dar par aye, kyuki Huzoorﷺ Khud farmate hai “Allahu uti-oo wa ana qasimu” (Allah ata karta hai baat-ta hu) aur sun Lo jo Mustafaﷺ ke dar ka nahi to wo Allah ke dar ka bhi nahi hai.
5
Kare Mustafa Ki Ahanate’n
Khule Bando Is Par Yah Jurate’n
Kya Mai Kya Nahi Hu Muhammadi
Are Haa Nahi, Are Haa Nahi
کرے مصطفٰی کی اِہانتیں کھلے بندوں اس پہ یہ جرأتیں
کہ میں کیا نہیں ہوں مُحَمَّدِی! ارے ہاں نہیں ارے ہاں نہیں

Word Meaning:
- Ahanate’n: Toheene’n, Khustakhiya
- Khule Bando: Ali-ul-Ealaan, Sab ke Saamne
- Jurate’n: Bahaduriya
Tashreeh/Explanation:
Ye Azeeb wa Gareeb Log hai Jo Ayen Iman balki Imaan ki Jaan Huzoor Purnoorﷺ ki Khule Aam Gustakhiya Karte hai, karne ke baad khud ko Muhammadi batate hai aur poochhte hai kya mai Muhammadi nahi hu jo ayesa karunga to Sunle Kaminez Beshak tu Muhammadi nahi, are haa tu Muhammadi nahi hai.
kyuki;
Muhammadﷺ ki Muhabbat Deen-e-Haq ki Shart e Awwal
Is Me Ho Agar Khaami To Sab Kuchh Na-Mukammal Hai
Is khoobsurat kalam ko sun’ne ke liye neeche di gayi video dekhiye.
6
Tere Aage Yuh Hai Dabe Lache
Fusha Arab Ke Badhe Badhe
Koi Jaane Muh Me Juban Nahi
Balki Jism Me Jaa’n Nahi
تِرے آگے یُوں ہیں دَبے لَچے فُصَحَاعرب کے بڑے بڑے
کوئی جانے منھ میں زباں نہیں ، نہیں بلکہ جسم میں جاں نہیں

Word Meaning:
- Dabe Lache: Sharmaye Hue, Dare Hue
- Fusha: Umda(Bahtareen) Guftagu Karne wala
Tashreeh/Explanation:
Badhe Badhe Arab ke Fusha balki saare Jaha ke Fusha jo apni apni juban me bahir fasih wa baleegh hai jin par khitabat aur Shayeri bhi Naaz karti ho lakin jab Huzoor Purnoorﷺ ke saamne aate hai to juban band ho jaati ayesa lagta jaise muh me juban nahi balki Yuh bhi guman hota hai jaise Us ke baad me jaan hi nahi, putla ban kar khada hai. Kyu ki koi kaise bole Us jubaan ke Aage jis ki haar baat Wahi e Khuda hai.
Bukhari Sharif ki Hadeeth hai jis ka mafhoom hai ki;Aap ke Dushman bhi kahte the ki ye kalaam kisi bashar ka nahi hai.
Ek Riwayat ye bhi hai ki Hazrat Abubakar Siddiqرضي الله عنه farmate hai ki Maine Arab ke tamam Shahro ka safar kiya hu magar Aap jaisa Fasi’h wa Baleegh koi nahi paya, kyu Huzoor ko Allah ne sikhaya.
Surah Rahman me Allah Ta’alah Farmata hai;
اَلرَّحْمٰنُۙ(۱)عَلَّمَ الْقُرْاٰنَؕ(۲) ( Rahman Ne Qura’an Sikhaya )
Bukhari Sharif ki Hadeeth hai ki Sahaba Karaam farmate; Jab Huzoor Bayaan karte to Hamari Aankhe Aansuo se bheegh jaati, Dil Dahel Jaata, Kitno ki Cheenkhe nikal Jaati.
Khud Aalahazrat Salat-o-Salaam me Farmate hai na;
“Wah Dahan Jis Ki Haar Baat Wahi-e-Khuda
Chashma e Ilm wa Hikmat Peh Lakho Salaam”
Urdu ke Azeem Shaar Mirza Galib kahte hai;
“Haq Jalwa Gar’z Tarz e Bayan Muhammad Ast
Are Kalaam e Haq Ba-Jubaane Muhammad Ast”
(Haq Jalwa Gar Hai Tarze Bayan Muhammad Se
Are Kalam e Haq Hai Juban e Muhammad Se)
7
Wo Sharf Ki Qata’a Hai Nisbate’n
Wo Karam Ki Sab Se Kareeb Hai
Koi Kahdo Yaas wa Ummid Se
Wo Kahi Nahi Wo Kaha Nahi
وہ شرف کہ قطع ہیں نسبتیں وہ کرم کہ سب سے قریب ہیں
کوئی کہدو یاس و امید سے وہ کہیں نہیں وہ کہاں نہیں

Word Meaning:
- Sharf: Bujurgi
- Qata’a: Kaatna
- Nisbate’n: Ta’alluqaat
- Yaas: Na-Ummidi
Tashreeh/Explanation:
Huzoor Purnoorﷺ ki wo Shaam wa Azmat hai ki In ke barabar kaun,Ye Nisbate’n un se kati hai. Apni Shaan wa Izzat ke Ayetbaar se kisi ko bhi Huzoor Purnoorﷺ se kya Nisbat (barabari) ho sakti hai. Yah to aapﷺ ka karam ki wah Imaan walo ki jaano se bhi un se jayeda qareeb hai to Mayusio se kaho ki Aaqa ke Daman e Rahmat me Tumhare liye koi jagah nahi kyu ki Huzoorﷺ Sarapa Rahmat hai. Balki aye Yaas tum kahi mt raho kyu wah to har jagah hai, Rahmat-ul-lilaalmeen ban kar.
8
Ya Nahi Ki Khuld Na Ho Niko
Wah Nikoi Ki Bhi Hai Aabru
Magar Aye Madine Ki Aarzoo
Jise Chahe Tu Wo Sama’n Nahi
یہ نہیں کہ خُلد نہ ہو نِکو وہ نِکوئی کی بھی ہے آبرو
مگر اے مدینہ کی آرزو جسے چاہے تو وہ سماں نہیں

Word Meaning:
- Khuld: Jannat
- Niko, Nikoi: Bhalai, Bahtari
- Aabru: Izzat
- Sama’n: Barabar, Jagah, Mauqa’a
Tashreeh/Explanation:
Beshak Jannat Bahot Khoobsurat hai lakin Agar Huzoor Purnoorﷺ na hote to Jannat ki khubsurati bhi na hoti, Huzoorﷺ to Khoobsurati ki bhi Izzat hai, agar Nikoi ki izzat hai to Huzoorﷺ ke dam qadam se hai. Lakin Aye Arzo e Madina, Aye Daagh e Furqat e Tayba, Tu jise Chaah raha tere dil me jo Daagh hai jo Aarzoo wah yah Jannat nahi hai wo to Madina hai. Jo Jannat se Afzal hai kyu waha Huzoorﷺ tashreef farma hai.
Huzoor Tajushshariah Mufti Akhtar Raza Khanرحمة الله عليه farmate hai;
“Shahre Nabi Teri Galiyon Ka Naqsa Hi Kuch Ayesa Hai
Khuld Bhi Hai Mustaaq e Ziyarat Jalwa Hi Kuchh Ayesa Hai”
9
Hai Unhi Ke Noor Se Sab Aya’n
Hai Unhi Ke Jalwa Me Sab Neeha
Bane Subah Tabish e Maher Se
Rahe Peshe Maher Ya Jaa’n Nahi
ہے اُنہیں کے نور سے سب عیاں ہے اُنہیں کے جلوہ میں سب نہاں
بنے صبح تابش مہر سے رہے پیش مہر یہ جاں نہیں

Word Meaning:
- Aya’n: Zahir
- Jalwa: Chamak
- Niha: Poshida’h
- Tabish e Maher: Suraj ki Roshni(Garmi)
- Pesh: Saamne
- Jaa’n: Taqat, Taab
Tashreeh/Explanation:
Huzoor Purnoorﷺ ke Noor se Sab Jahir hai, Unhi ke Noor se Sab bana hai, aur Unhi ke Jalwo me sab Niha bhi hai, kyu Huzoor Purnoorﷺ ke Noor ke aage har Nooraniyat parde me chali jati hai jaise Subah Sadiq ki Roshni Suraj ki Roshni me chhup jaati hai, kyuki us me itni taqat nahi ki Suraj ke Noor ka Saamna kare. Isi tarah Huzoor Purnoorﷺ ke Noor ke aage Agarcha’h wo suraj, chand hi kyu na ho wo bhi chhup jaate. Kyuki Noor me itni taqat nahi ki Siraj-um-Muneer ka Saamna kare.
10
Wahi Noor e Haq Wahi Zill e Rab
Hai Unhi Se Sab Hai Unhi Ka Sab
Nahi Un Ki Malk Me Aasmaa
Ki Zamee’n Nahi Zama’n Nahi
وہی نورِ حق وہی ظلِّ ربّ ہے انہیں سے سب ہے انہیں کا سب
نہیں ان کی مِلک میں آسماں کہ زمیں نہیں کہ زماں نہیں

Word Meaning:
- Noor e Haq: Haq ka Noor
- Zill e Haq: Haq ka Saaya
- Zama’n: Zamana, Jaha’n
Tashreeh/Explanation:
Huzoor Purnoorﷺ hi Allah me Ke Noor hai aur Allah apna saya Huzoor ko banaya, aur Huzoor hi ke Noor se Sara Alam banaya, isliye sab Huzoor hi ka hai. Aap ki malkiyat/Hukumat me Zameen bhi Asmaan bhi hai har Zamana hai.
Baradar e Aalahazrat, Shahenshah e Shukhan Maulana Hasan Raza Khan Barelviرحمة الله عليه farmate hai;
“Kaunain Banaye Gaye Sarkaar Ke Khatir
Kaunain Ki Khatir Tumhe Sarkaar Banaya”
11
Wahi La-Maka’n Ke Makee’n Hue
Wahi Sar e Arsh Takht Nasheen Hue
Wo Nabi Hai Jis Ke Hai Ya Makaa’n
Wo Khuda Hai Jiska Makaa’n Nahi
وہی لامکاں کے مکیں ہوئے سرِ عرش تخت نشیں ہوئے
وہ نبی ہے جس کے ہیں یہ مکاں وہ خدا ہے جس کا مکاں نہیں

Word Meaning:
- La-Maka’n: Jaha Makaan Nahi, Arsh e Mualla ke baad ka Darza
- Makee’n: Makaan me Rahne Wala
- Sar e Arsh: Arsh ke Upar
- Takht Nasheen: Takht par Baithna
Tashreeh/Explanation:
La-Maka’n bhi Huzoor Purnoorﷺ ki Qayaam Gaah hai aur Arsh ke Upar to aap Nalain ke Saath Jalwagari Farmai, ye sab saare makaan huzoor hi ke liye hai kyu ki Allahﷻ in tamam Jism wa Jismaniyat, Makaan Makee’n se paak hai.
12
Sar e Arsh Par Hai Teri Guzar
Dil e Farsh Par Hai Teri Nazar
Malakoot wa Mulk Me Koi Sh’ae
Nahi Wah Jo Tujh Peh Aya’n Nahi
سرِ عرش پر ہے تِری گزر دلِ فرش پر ہے تِری نظر
ملکوت و ملک میں کوئی شے نہیں وہ جو تجھ پہ عیاں نہیں

Word Meaning:
- Guzar: Aana Jaana
- Malakoot: Farishto’n ki Rahne ki Jagah
Tashreeh/Explanation:
Huzoor Purnoorﷺ ka Aana Jaana Arsh ke Upar bhi hai aur Farsh par rahne walo ke dilo ka raaz bhi jaante hai, ya to kuch nahi balki Har Makaa’n chahe wo Zameen ho Aasmaan ho, Arsh ho, La-Maka’n ho sab Huzoor Purnoorﷺ par Aya’n hai jaise Hatheli me Rai ka dana.
Aur kyu na Jab Sab se Badha Ghaib Huzoor se nahi Chhupa to ye sab kya hai Aalahazrat Farmate hai;
“Aur Koi Ghayeb Kya Tum Se Neeha Ho Bhala
Jab Na Khuda Hi Chhupa Tum Peh Karodo Darood”
13
Karu Tere Naam Peh Jaan Fida
Na Bas Ek Jaan Do Jaan Fida
Do Jahan Se Bhi Nahi Ji Bhara
Karu Kya Karodo Jahan Nahi
کروں تیرے نام پہ جاں فدانہ بس ایک جاں دو جہاں فِدا
دو جہاں سے بھی نہیں جی بھرا کروں کیا کروروں جہاں نہیں

Word Meaning:
- Fida: Qurban
- Bas: Sirf
- Do Jahan: Dono Jahan
- Ji: Man, Dil
Tashreeh/Explanation:
Ya Rasoolallahﷺ mera man kah raha ki aap ke Naam e Aqdas par Apni jaan qurban kardu lakin sirf ek jaan balki do jaan (ek maut se pahle ek maut ke baad) lakin is se bhi ji nahi bharega par kya karu mere ekhtayar me to karodo Jahan nahi hai jaha jaan mile aur aap par qurbaan karu.
14
Tera Qad To Nadir e Dahar Hai
Koi Misl Ho To Misaal De
Nahi Gul Ki Paudo Me Daliya
Ki Chaman Me Saro Chama Nahi
تِرا قد تو نادرِ دہر ہے کوئی مِثل ہو تو مِثال دے
نہیں گُل کے پودوں میں ڈالیاں کہ چمن میں سرو چماں نہیں

Word Meaning:
- Qad: Shaan
- Nadir e Dahar: Kainaat ka Akela
- Misl: Barabar
- Misaal: Nazeer, Example
- Daliya: Shakhe’n
- Chaman: Baagh
- Chama’n: Naaz se Chalna
Tashreeh/Explanation:
Ya Rasoolallahﷺ aap ka Qad Mubarak SubhanAllah 💐 Allah Ta’alah ne Ayesa banaya hai ki jo Kainaat me sirf ek hai us ke Misl koi nahi hai agar hai to misaal de. Ye Gulab Daaliyan aur Baagh me Saro ka Seedha tana darakh aap ke Qad Mubarak ke Misaal ke layeq nahi.
Baradar e Aalahazrat Maulana Hasan farmate hai na;
“ Ayesa Tujhe Khaliq Ne Tarah Daar Banaya
Yusuf Ko Tera Talib e Didaar Banaya ”
15
Nahi Jis Ke Rang Ka Doosra
Na To Na Ho Koi Na Kabhi Hua
Kahu Is Ko Gul Kahe Kya
Koi Ki Gulo Ka Dher Kaha Nahi
نہیں جس کے رنگ کا دوسرا نہ تو ہو کوئی نہ کبھی ہوا
کہو اس کو گل کہے کیا بنی کہ گلوں کا ڈھیر کہاں نہیں

Word Meaning:
- Gul: Phool
- Gulo: Gul ki Jama(Plural), Phoolo
- Dher: Ikaththa jama hona, Bahot Jayeda
Tashreeh/Explanation:
Huzoor Purnoorﷺ ke Rang, Qad, Shaan wa Azmat ka Misl koi nahi, aur na tha Aur na kabhi koi hoga. Kya Mai Huzoor Purnoorﷺ ko Gulab kahu? Lakin Gulaab ka dher, Bahot Saare Gulab to har jagah hai. Aur Aapﷺ ke jaisa koi nahi.
16
Karu Mada’h Ahle Dual Raza
Padhe Is Bala Me Meri Bala
Mai Gada Hu Apne Kareem Ka
Mera Deen Para e Naa’n Nahi
کروں مدحِ اہلِ دُوَلْ رضاؔ پڑے اِس بَلا میں مِری بَلا
میں گدا ہوں اپنے کریم کا مِرا دِین پارۂ ناں نہیں

Word Meaning:
- Mada’h: Tareef
- Ahle Dual: Daulat Wale
- Bala: Musibat
- Gada: Shaidai, Fidai, Mangta
- Kareem: Karam Karne Wala (Allah aur Rasoolallahﷺ)
- Para e Naa’n: Roti ka Tukda
Tashreeh/Explanation:
Mai Ahmad Raza Daulat walo ki Qasida Goyi karu? un ki tareef me qasida likhu? are is musibat me meri musibat padhe, mai kyu padu. Allah tu mujhe is se bacha mai to Gada Hu Apne Kareem ka aur Mera Deen ko koi Roti ka Tukda nahi ki Roti ke Tukde ke liye Imaan badal lu.
Is Sh’er ka Pash Manzar ye hai ki; Aalahazrat Imam Ahmed Razaرحمة الله عليه ke bargah me ek Shakhs jahir hue aur kaha ki aap District NaanPara (Bahraich State) ke Nawab ki Shan me Qasida likh do kuchh Maali Imdaad ho jayegi to Aalahazrat ko Jalal aya to is ke Maqte me ye Sh’er likh diya. District NaanPara ke Nawab ne sar pakad liya ki Kaash mai kaha hi nahi hota, Aapرحمة الله عليه ne to mere Riyasat ko hi Ulta kardiya. (NaanPara – Parae Naa’n)
Is khoobsurat kalam ko sun’ne ke liye neeche di gayi video dekhiye.
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam ki sharah pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!