Wo Kamale Husne Huzoor Hai Lyrics | Kalam e Raza

Wo Kamale Husne Huzoor Hai Lyrics | Kalam e Raza

Roman Urdu

Wo Kamale Husne Huzoor Hai Ke Gumaan-e-Naqs Jahan Nahin
Yehi Phool Khaar Se Door Hai Yehi Shama Hai Ke Dhuaan Nahin

Do Jahan Ki Behtariyaan Nahin Ke Amani-e-Dil O Jaan Nahin
Kaho Kya Hai Woh Jo Yahan Nahin Magar Ek “Nahin” Ke Woh Haan Nahin

Main Nisaar Tere Kalaam Par Mili Yun To Kis Ko Zabaan Nahin
Woh Sukhan Hai Jis Mein Sukhan Na Ho Woh Bayaan Hai Jiska Bayaan Nahin

Bikhuda Khuda Ka Yehi Hai Dar Nahin Aur Koi Mafarr Maqarr
Jo Wahan Se Ho Yehi Aake Ho Jo Yahan Nahin To Wahan Nahin

Kare Mustafa Ki Ihaantain Khule Bandon Us Pe Ye Jur’atein
Ke Main Kya Nahin Hoon Muhammadi Aray Haan Nahin Aray Haan Nahin

Tere Aagay Yun Hain Dabay Lache Fusahaa Arab Ke Baday Baday
Koi Jaane Munh Mein Zabaan Nahin Nahin Balki Jism Mein Jaan Nahin

Woh Sharaf Ke Qat’ Hain Nisbatain Woh Karam Ke Sab Se Qareeb Hain
Koi Keh Do Yaas O Umeed Se Woh Kahin Nahin Woh Kahan Nahin

Ye Nahin Ke Khuld Na Ho Niko Woh Nikoi Ki Bhi Hai Aabroo
Magar Aye Madinah Ki Aarzoo Jise Chahe To Woh Sama Nahin

Hai Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hai Unhi Ke Jalwa Mein Sab Nahan
Bane Subh Tabish-e-Mehr Se Rahe Pesh-e-Mehr Ye Jaan Nahin

Wohi Noor-e-Haq Wohi Zill-e-Rabb Hai Unhi Se Sab Hai Unhi Ka Sab
Nahin Unki Milk Mein Aasman Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Nahin

Wohi La-Makaan Ke Makeen Huye Sar-e-Arsh Takht Nasheen Huye
Woh Nabi Hai Jis Ke Hain Ye Makaan Woh Khuda Hai Jis Ka Makaan Nahin

Sar-e-Arsh Par Hai Teri Guzar Dil-e-Farsh Par Hai Teri Nazar
Malakoot O Mulk Mein Koi Shay Nahin Woh Jo Tujh Pe Ayaan Nahin

Karoon Tere Naam Pe Jaan Fida Na Bas Ek Jaan Do Jahan Fida
Do Jahan Se Bhi Nahin Ji Bhara Karoon Kya Karoron Jahan Nahin

Tera Qad To Nadir-e-Dehr Hai Koi Misl Ho To Misal De
Nahin Gul Ke Podon Mein Daaliyan Ke Chaman Mein Sarv-e-Chaman Nahin

Nahin Jis Ke Rang Ka Doosra Na Tu Ho Koi Na Kabhi Hua
Kaho Usko Gul Kahe Kya Bani Ke Gulon Ka Dher Kahan Nahin

Karoon Mad’h-e-Ahl-e-Duwal Raza Pare Is Bala Mein Meri Bala
Main Gada Hoon Apne Kareem Ka Mera Deen Para-e-Naah Nahin

اردو

وہ کمالِ حُسنِ حضور ہے کہ گمانِ نَقْص جہاں نہیں 
یہی پھول خار سے دور ہے یہی شمع ہے کہ دُھواں نہیں

دو جہاں کی بہتریاں نہیں کہ امانیٔ دل و جاں نہیں 
کہو کیا ہے وہ جو یہاں نہیں مگر اک ’’نہیں ‘‘ کہ وہ ہاں نہیں

میں نثار تیرے کلام پر مِلی یُوں تو کِس کو زباں نہیں 
وہ سخن ہے جس میں سخن نہ ہو وہ بیاں ہے جس کا بیاں نہیں

بخدا خدا کا یہی ہے در نہیں اور کوئی مَفَر مَقَر
جو وہاں سے ہو یہیں آکے ہو جو یہاں نہیں تو وہاں نہیں

کرے مصطفٰی کی اِہانتیں کھلے بندوں اس پہ یہ جرأتیں 
کہ میں کیا نہیں ہوں مُحَمَّدِی! ارے ہاں نہیں ارے ہاں نہیں

تِرے آگے یُوں ہیں دَبے لَچے فُصَحَاعرب کے بڑے بڑے
کوئی جانے منھ میں زباں نہیں ، نہیں بلکہ جسم میں جاں نہیں

وہ شرف کہ قطع ہیں نسبتیں وہ کرم کہ سب سے قریب ہیں 
کوئی کہدو یاس و امید سے وہ کہیں نہیں وہ کہاں نہیں

یہ نہیں کہ خُلد نہ ہو نِکو وہ نِکوئی کی بھی ہے آبرو
مگر اے مدینہ کی آرزو جسے چاہے تو وہ سماں نہیں

ہے اُنہیں کے نور سے سب عیاں ہے اُنہیں کے جلوہ میں سب نہاں 
بنے صبح تابش مہر سے رہے پیش مہر یہ جاں نہیں

وہی نورِ حق وہی ظلِّ ربّ ہے انہیں سے سب ہے انہیں کا سب
نہیں ان کی مِلک میں آسماں کہ زمیں نہیں کہ زماں نہیں

وہی لامکاں کے مکیں ہوئے سرِ عرش تخت نشیں ہوئے
وہ نبی ہے جس کے ہیں یہ مکاں وہ خدا ہے جس کا مکاں نہیں

سرِ عرش پر ہے تِری گزر دلِ فرش پر ہے تِری نظر
ملکوت و ملک میں کوئی شے نہیں وہ جو تجھ پہ عیاں نہیں

کروں تیرے نام پہ جاں فدانہ بس ایک جاں دو جہاں فِدا
دو جہاں سے بھی نہیں جی بھرا کروں کیا کروروں جہاں نہیں

تِرا قد تو نادرِ دہر ہے کوئی مِثل ہو تو مِثال دے
نہیں گُل کے پودوں میں ڈالیاں کہ چمن میں سرو چماں نہیں

نہیں جس کے رنگ کا دوسرا نہ تو ہو کوئی نہ کبھی ہوا
کہو اس کو گل کہے کیا بنی کہ گلوں کا ڈھیر کہاں نہیں

کروں مدحِ اہلِ دُوَلْ رضاؔ پڑے اِس بَلا میں مِری بَلا
میں گدا ہوں اپنے کریم کا مِرا دِین پارۂ ناں نہیں

Is khoobsurat kalam ko sun’ne ke liye neeche di gayi video dekhiye.


Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
Neeche apna feedback likhna na bhoolen!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر


Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top