Sar Ta Baqadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Lyrics | Kalam e Raza

Sar Ta Baqadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Lyrics | Kalam e Raza

Roman Urdu

Sar Ta Baqadam Hai Tane Sultane Zaman Phool
Lab Phool, Dahan Phool, Zaqan Phool, Badan Phool

Sadqe Mein Tere Baagh To Kya Laye Hain “Ban” Phool
Is Ghuncha-e-Dil Ko Bhi To Eema Ho Ke Ban Phool

Tinka Bhi Hamare To Hilaaye Nahin Hilta
Tum Chaho To Ho Jaye Abhi Koh-e-Mihan Phool

Wallah Jo Mil Jaye Mere Gul Ka Paseena
Maange Na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool

Dil Basta O Khoon Ghushta Na Khushboo Na Latafat
Kyun Ghuncha Kahun Hai Mere Aaqa Ka Dahan Phool

Shab Yaad Thi Kin Daanton Ki Shabnam Ke Dam-e-Subh
Shaukhan-e-Bahaari Ke Jaraau Hain Kiran Phool

Dandan O Lab O Zulf O Rukh-e-Shaah Ke Fidaai
Hain Dur-e-Adan, Laal-e-Yaman, Mushk-e-Khutan Phool

Boo Ho Ke Nahan Ho Gaye Taab-e-Rukh-e-Shaah Mein
Lau Ban Gaye Hain Ab To Haseenon Ka Dahan Phool

Hon Baar-e-Gunah Se Na Khajal Dosh-e-Azizaan
Lillah Meri Nash Kar Aye Jaan-e-Chaman Phool

Dil Apna Bhi Shedai Hai Us Naakhun-e-Pa Ka
Itna Bhi Mah-e-No Pe Na Aye Charkh-e-Kuhan! Phool

Dil Khol Ke Khoon Ro Le Gham-e-Aariz-e-Shaah Mein
Niklay To Kahin Hasrat-e-Khoon Naaba Shudan Phool

Kya Gaaza Mila Gard-e-Madina Ka Jo Hai Aaj
Nikhre Huye Jo Ban Mein Qayamat Ki Phaban Phool

Garmi Ye Qayamat Hai Ke Kaante Hain Zabaan Par
Bulbul Ko Bhi Aye Saqi-e-Sahba O Laban Phool

Hai Kaun Ke Giriya Kare Ya Fatiha Ko Aaye
Bekas Ke Uthaye Teri Rahmat Ke Bharan Phool

Dil Gham Tujhe Ghere Hain Khuda Tujh Ko Woh Chumkaaye
Sooraj Tere Khirman Ko Bane Teri Kiran Phool

Kya Baat Raza Uss Chamanistaan-e-Karam Ki
Zahra Hai Kali Jis Mein Hussain Aur Hasan Phool

اردو

سر تا بقدم ہے تن سُلطانِ زَمن پھول
لب پھول دَہن پھول ذَقن پھول بدن پھول

صدقے میں تِرے باغ تو کیا لائے ہیں ’’بن‘‘ پھول
اِس غُنْچۂ دل کو بھی تو اِیما ہو کہ بن پھول

تنکا بھی ہمارے تو ہلائے نہیں ہلتا
تم چاہو تو ہو جائے ابھی کوہِ محن پھول

وَاللہ جو مِل جائے مِرے گل کا پسینہ
مانگے نہ کبھی عِطْر نہ پھر چاہے دُلہن پھول

دِل بستہ و خُوں گشتہ نہ خوشبُو نہ لطافت
کیوں غنچہ کہوں ہے مِرے آقا کا دَہن پھول

شب یاد تھی کن دانتوں کی شبنم کہ دَمِ صبح
شوخانِ بہاری کے جڑاؤ ہیں کرن پھول

دندان و لب و زلف و رُخِ شہ کے فِدائی
ہیں دُرِّ عدن ، لعلِ یمن ، مُشکِ ختن پھول
بو ہو کہ نہاں ہو گئے تابِ رُخِ شہ میں 
لَو بن گئے ہیں اب تو حسینوں کا دہن پھول

ہوں بارِ گنہ سے نہ خجل دوشِ عزیزاں 
لِلّٰہ مِری نعش کر اے جانِ چمن پھول

دِل اپنا بھی شیدائی ہے اس ناخنِ پا کا
اتنا بھی مہِ نو پہ نہ اے چرخ کُہن! پھول

دِل کھول کے خُوں رو لے غمِ عارضِ شہ میں 
نکلے تو کہیں حسرتِ خوں نابہ شدن پھول

کیا غازہ مَلا گردِ مدینہ کا جو ہے آج
نِکھرے ہوئے جو بن میں قیامت کی پھبن پھول

گرمی یہ قیامت ہے کہ کانٹے ہیں زباں پر
بلبل کو بھی اے سَاقیٔ صہبَا و لبن پھول

ہے کون کہ گِریہ کرے یا فاتحہ کو آئے
بیکس کے اُٹھائے تِری رحمت کے بھرن پھول

دل غم تجھے گھیرے ہیں خدا تجھ کو وہ چمکائے
سُورج تِرے خرمن کو بنے تیری کرن پھول

کیا بات رضاؔ اُس چمنستانِ کرم کی
زہرا ہے کلی جس میں حُسین اور حسن پھول

Is khoobsurat kalam ko sun’ne ke liye neeche di gayi video dekhiye.


Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
Neeche apna feedback likhna na bhoolen!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر


Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top