Farishte noori makhlooq hain. Allah Rabbul Izzat ne inhein paak paida farmaya, aur inko woh qudrat di gayi hai ke jis shakal me chahe zahir ho sakte hain. Kabhi woh insaan ki shakal me aate hain aur kabhi doosri soorat ikhtiyar karte hain. Quran Majeed o Hadees se sabit hai ke farishte Allah Ta’ala ke masoom bande hain, jo na qasdan (jaan-boojh kar), na sahwan (bhool kar), aur na hi khata’an (galtian) karte hain. Yeh har qisam ke gunaahon se paak hain.

Farishte Kya Karte Hain?
Farishton ka asal kaam sirf aur sirf Allah Azzawajal ke hukm ki ita’at karna hai. Quran Majeed me irshad hai:
“Woh Allah ke hukm ke kabhi nafarmani nahi karte aur wahi karte hain jo unhein hukm diya jata hai.”
(Surah At-Tahrim: 6)
Inke mukhtalif kaam hain: kisi ke zimmah wahi laana, kisi ke zimmah rozi taqseem karna, kisi ke zimmah rooh qabz karna, kisi ke zimmah insaan ke Naama-e-Amaal likhna, kisi ke zimmah azaab dena, kisi ke zimmah jannat ya jahannum ka nizaam chalana. Har farishta apne khaas kaam par muqarrar hai.
Farishton Ke Kaam
- Ambiya عليه السلام tak wahi pohchana
- Rozi taqseem karna
- Pani barsana aur hawa chalana
- Maa ke pet me bachche ki soorat banana
- Insaanon ke Naama-e-Amaal likhna
- Zaakreen ki mehfilon me shamil hona
- Rasool Allah ﷺ ki bargah me ummat ka durood o salaam pohchana
- Rooh qabz karna
- Murdon se qabr me sawal karna
- Azaab dena
- Qayamat ke din Soor phoonkna
Farishton Ki Tadaad
Farishton ki asal tadaad sirf Allah hi janta hai. Quran o Sunnat me yeh wazeh hai ke unki adad o shumar insaano ke ilm se bahar hai. Sirf chand mashhoor farishton ka zikr Quran o Hadees me aata hai.

4 Mashhoor Farishte Ke Naam Aur Farishto Ke Kaam
1. Hazrat Jibril عليه السلام – Ambiya tak wahi pahochana
Quran me irshad hai:
“Kaho! Jo shakhs Jibrail ka dushman hai, to usne hi Allah ke hukum se tumhare dil par Qur’an nazil kiya.”
(Surah Al-Baqara: 97)
2. Hazrat Mikail عليه السلام – Rozi Taqseem Karna
Quran me zikr hai:
“Jo shakhs Allah, uske Farishton, uske Rasoolon, Jibrail aur Mikail ka dushman ho, to Allah bhi aise kafiron ka dushman hai.”
(Surah Al-Baqara: 98)
3. Hazrat Israfeel عليه السلام – Soor Phoonkna
Quran me irshad hai:
“Aur Soor me phoonka jayega, phir jo asmano me hain aur jo zameen me hain gir parenge, siwae unke jise Allah chahe.”
(Surah Az-Zumar: 68)
4. Hazrat Izraeel عليه السلام – Rooh Nikalna
Quran me farmaya gaya:
“Kaho! Tumhari rooh us farishte ke hawale ki jati hai jo maut par muqarrar kiya gaya hai, phir tum apne Rab ki taraf lautaye jaoge.”
(Surah As-Sajdah: 11)

Quran Majeed Me Farishte
- Hazrat Jibrail عليه السلام – Wahi laane wale farishte
(Surah Al-Baqara: 97) - Hazrat Mikail عليه السلام – Rizq taqseem karne wale farishte
(Surah Al-Baqara: 98) - Hazrat Haroot wa Maroot عليهما السلام – Jinhe insaan bana kar duniya me bheja gaya
(Surah Al-Baqara: 102) - Hazrat Malik عليه السلام – Jahannam ke daroga
(Surah Az-Zukhruf: 77) - Hazrat Ra’ad عليه السلام – Badlo ke ehkaam par muqarrar
(Surah Ar-Ra’ad: 13-15)
FAQs – Frequently Asked Questions
Conclusion
Farishton ka zikr Quran o Hadees me bohot baar aata hai. Yeh sab noori makhlooq Allah ke hukm ke itaat mein masroof rehte hain. Unka asal kaam insaanon ki hidayat, rozi, hifazat aur Allah ke hukm ko poora karna hai. Unme se kuch ke naam Quran Majeed me sabit hain, baaki ka ilm sirf Allah aur uske ke paas hai.
Aapki Raaye Hamare Liye Aham Hai!
Agar aapko yeh Mazmoon pasand aaya ho ya aapke dil mein koi sujhaav ho, toh neeche comment zaroor karein. Aapka feedback humein behtar content banane mein madad karta hai.
Dosto ke saath bhi share karna na bhoolen!
Shukriya!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –



Pingback: Hain Saf Aara Sab Hoor O Malak Lyrics | Meraj Beautiful Naat