
Roman Urdu
Chaaron Taraf Noor Chhaya.
Aaqa Ka Milad Aaya,
Khushiyo’n Ka Paighaam Laya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Shams O Qamar Aur Taare,
Kyun Na Hon Khush Aaj Saare.
Un Se Hi To Noor Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Khushiyan Manaate Hain Wohi,
Dhoomein Mein Machate Hain Wohi.
Jin Par Hua Unka Saya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Hai Shaad Har Ek Musalmaan,
Karta Hai Ghar Ghar Chiraaghan.
Galiyo’n Ko Bhi Jagmaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Mukhtar e Kul Maane Jo Unhein,
Noor-e-Bashar Jaanay Jo Unhein.
Naara Ussi Ne Lagaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Jo Aaj Mehfil Mein Aaye,
Man Ki Muradein Paa Jaye.
Sab Par Karam Ho Khudaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Ghaus-ul-Wara Aur Daata Ne,
Mere Raza Aur Khwaja Ne,
Sab Ne Hi Din Yeh Manaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Naat-e-Nabi Tum Sunao,
Ishq-e-Nabi Ko Badhao.
Hum Ko Raza Ne Sikhaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Jis Ko Shajar Jante Hain,
Kehna Hajar Mante Hain.
Aisa Nabi Hum Ne Paaya,
Aaqa Ka MiladAaya.
Dil Jagmagane Lage Hain,
Sab Muskuraane Lage Hain.
Ek Kaif Sa Aaj Chhaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Kar Aye Ubaid Unki Mid’hat,
Tujh Par Khuda Ki Ho Rahmat.
Tu Ne Muqaddar Yeh Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya.
Poet: Ubaid Raza (Owais Raza Qadri)


اردو
چاروں طرف نور چھایا
آقا کا میلاد آیا
خوشیوں کا پیغام لایا
آقا کا میلاد آیا
شمس و قمر اور تارے
کیوں نہ ہوں خوش آج سارے
ان سے ہی تو نور پایا
آقا کا میلاد آیا
خوشیاں مناتے ہیں وہی
دھومیں مچاتے ہیں وہی
جن پر ہوا ان کا سایہ
آقا کا میلاد آیا
ہے شاد ہر ایک مسلمان
کرتا ہے گھر گھر چراغاں
گلیوں کو بھی جگمگایا
آقا کا میلاد آیا
مختار کل مانے جو انہیں
نور بشر جانے جو انہیں
نعرہ اسی نے لگایا
آقا کا میلاد آیا
جو آج محفل میں آئے
من کی مرادیں پا جائے
سب پر کرم ہو خدایا
آقا کا میلاد آیا
غوث الوریٰ اور داتا نے
میرے رضا اور خواجہ نے
سب نے ہی دن یہ منایا
آقا کا میلاد آیا
نعت نبی تم سناؤ
عشق نبی کو بڑھاؤ
ہم کو رضا نے سکھایا
آقا کا میلاد آیا
جس کو شجر جانتے ہیں
کہنا حجر مانتے ہیں
ایسا نبی ہم نے پایا
آقا کا میلاد آیا
دل جگمگانے لگے ہیں
سب مسکرانے لگے ہیں
اک کیف سا آج چھایا
آقا کا میلاد آیا
کر اے عبید ان کی مدحت
تجھ پر خدا کی ہو رحمت
تو نے مقدر یہ پایا
آقا کا میلاد آیا
شاعر: عبید رضا (اویس رضا قادری)
Is khoobsurat kalam ko sun’ne ke liye neeche di gayi video dekhiye.
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –