
Wo Sarwar e Kishwar e Risalat
Naye Nirale Tarab Ke Samaan Arab Ke Mehman Ke Liye The
Bahaar Hai Shadiyan Mubarak Chaman Ko Abadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni Lay Mein Yeh Ghar Anadil Ka Bolte The
Wahan Falak Par Yahan Zameen Mein Rachi Thi Shadi Machi Thi Dhoomein
Udhar Se Anwaar Hanste Aate Idhar Se Nifhat Uth Rahe The
Yeh Chhoot Parti Thi Un Ke Rukh Ki Ke Arsh Tak Chandni Thi Chhatki
Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jaga Jaga Nasb Aaine The
Nayi Dulhan Ki Phaban Mein Kaaba Nikhar Ke Sanwara Sanwar Ke Nikhra
Hajar Ke Sadqe Kamar Ke ek Til Mein Rang Lakhon Banao Ke The
Nazar Mein Dulha Ke Pyare Jalwe Haya Se Mahrab Sar Jhukaye
Siyah Parde Ke Munh Par Aanchal Tajalli-e-Zaat-e-Bahat Se The
Khushi Ke Badal Umad Ke Aaye Dilon Ke Ta’oos Rang Laye
Woh Naghma-e-Naat Ka Sama Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe The
Yeh Jhooma Meezab-e-Zar Ka Jhoomar Ke Aa Raha Kaan Par Dhalak Kar
Phoohar Barsi To Moti Jhar Kar Hateem Ki God Mein Bhare The
Dulhan Ki Khushboo Se Mast Kapde Naseem Gustakh Aanchalon Se
Ghilaf-e-Mushkeen Jo Udh Raha Tha Ghazaal Nafay Basa Rahe The
Pahadiyon Ka Woh Husn-e-Taz’een Woh Oonchi Choti Woh Naaz O Tameen
Saba Se Sabza Mein Lahrain Aati Dupattay Dhani Chune Hue The
Naha Ke Nehron Ne Woh Chamakta Libas Aab-e-Rawan Ka Pahna
Ke Mojain Chhadiyan Thi Dhaar Lachka Hibaab-e-Taban Ke Thal Tike The
Purana Purdagh Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka
Hujoom-e-Taar-e-Nigaah Se Koson Qadam Qadam Farsh Baadle The
Ghubaaar Ban Kar Nisar Jaun Kahan Ab Us Rah-Guzar Ko Paye
Hamare Dil Hooriyon Ki Aankhen Farishton Ke Par Jahan Bichhe The
Khuda Hi De Sabr Jaan-e-Pur-Gham Dikhaun Kyun Kar Tujhe Woh Aalam
Jab Un Ko Jhurmat Mein Le Ke Qudsi Jinan Ka Dulha Bana Rahe The
Utaar Kar Un Ke Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka Bat Raha Tha Baada
Ke Chand Suraj Machal Machal Kar Jabeen Ki Khairat Mangte The
Wohi To Ab Tak Chhalak Raha Hai Wohi To Joban Tapak Raha Hai
Nahane Mein Jo Gira Tha Pani Katore Taron Ne Bhar Liye The
Bacha Jo Talwon Ka Un Ke Dhawan Bana Woh Jannat Ka Rang O Roghan
Jinhon Ne Dulha Ki Pai Utran Woh Phool Gulzar-e-Noor Ke The
Khabar Yeh Tahweel-e-Maher Ki Thi Ke Rut Suhani Ghadi Phiregi
Wahan Ki Poshak Zeb Tan Ki Yahan Ka Joda Badha Chuke The
Tajalli-e-Haq Ka Sahra Sar Par Salat O Tasleem Ki Nichawar
Do Roya Qudsi Pare Jama Kar Khade Salami Ke Waste The
Jo Hum Bhi Wan Hote Khaak-e-Gulshan Lipat Ke Qadmon Se Lete Utran
Magar Karein Kya Naseeb Mein To Yeh Na-Muradi Ke Din Likhe The
Abhi Na Aaye The Pusht-e-Zeen Tak Ke Sar Hui Maghfirat Ki Shillak
Sada-e-Shafaat Ne Di Mubarak Gunaah Mastana Jhoomte The
Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna Ghazaal Dam Khurdah Sa Bhadakna
Shuaen Bukke Uda Rahi Thi Tadapte Aankhon Pe Saaiqe The
Hujoom-e-Umeed Hai Ghatao Muradein De Kar Inhein Hatao
Adab Ki Baagein Liye Badhao Malaika Mein Yeh Ghulghule The
Uthi Jo Gard-e-Rah-e-Munawwar Woh Noor Barsa Ke Raste Bhar
Ghire The Badal Bhare The Jal Thal Umad Ke Jangal Ubal Rahe The
Sitm Kya Kaisi Mat Kati Thi Qamar Woh Khaak Un Ke Rah Guzar Ki
Utha Na Laya Ke Malte Malte Yeh Daagh Sab Dekhta Mite The
Buraaq Ke Naqsh-e-Sum Ke Sadqe Woh Gul Khilaye Ke Saaray Rastay
Mahekte Gulban Lahekte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe The
Namaz-e-Aqsa Mein Tha Yehi Sirr Ayaan Hoon Ma’ni-e-Awwal Aakhir
Ke Dast-Basta Hain Peechhe Hazir Jo Saltanat Aage Kar Gaye The
Yeh Un Ki Aamad Ka Dab-Daba Tha Nikhaar Har Shey Ka Ho Raha Tha
Nujoom O Aflaak Jaam O Meena Ujalte The Khangaalte The
Niqab Ulte Woh Maher-e-Anwar Jalal-e-Rukhsar Garmiyon Par
Falak Ko Haibat Se Tap Chadhi Thi Tapakte Anjum Ke Aable The
Yeh Josh-e-Noor Ka Asar Tha Ke Aab-e-Gohar Kamar Kamar Tha
Safaa-e-Rah Se Phisal Phisal Kar Sitaare Qadmon Pe Laut’te The
Badha Yeh Lahra Ke Bahr-e-Wahdat Ke Dhul Gaya Naam-e-Rait-e-Kasrat
Falak Ke Teelon Ki Kya Haqiqat Yeh Arsh O Kursi Do Bulbule The
Woh Zill-e-Rehmat Woh Rukh Ke Jalway Ke Taaray Chhupte Na Khilnay Paate
Sunehri Zarbafat Oodi Atlas Yeh Thaan Sab Dhoop Chhaon Ke The
Chalawa Sarv-e-Chaman Kharamaan Na Ruk Saka Sidra Se Bhi Daaman
Palak Jhapat’ki Rahi Woh Kab Ke Sab Ain-O-Aan Se Guzar Chuke The
Jhalak Si Ik Qudsiyon Par Aayi Hawa Bhi Daaman Ki Phir Na Paayi
Sawari Dulha Ki Door Pohnchi Baraat Mein Hosh Hi Gaye The
Thakay The Rooh-Ul-Ameen Ke Baazu Chhuta Woh Daaman Kahan Woh Pehlu
Rikaab Chhooti Umeed Tooti Nigaah-e-Hasrat Ke Walwalay The
Rawish Ki Garmi Ko Jis Ne Socha Dimaagh Se Ik Bhuboo Sa Phoota
Khirad Ke Jangal Mein Phool Chamka Dahr Dahr Pair Jal Rahe The
Jilo Mein Jo Murgh-e-Aqal Uray The Ajab Buray Haalon Girtay Partay
Woh Sidra Hi Par Rahe Thak Kar Charha Tha Dam Tevar Aa Gaye The
Qawi The Murghan-e-Wahm Ke Par Uray To Urnay Ko Aur Dam Bhar
Uthai Seenay Ki Aisi Thokar Ke Khoon-e-Andesha Thooktay The
Suna Yeh Itnay Mein Arsh-e-Haq Ne Ke Lay Mubarak Hon Taaj Walay
Wohi Qadam Khair Se Phir Aaye Jo Pehlay Taaj-e-Sharaf Teray The
Yeh Sun Ke Be-Khud Pukaar Utha Nisar Jaun Kahan Hain Aaqa
Phir Un Ke Talwon Ka Paon-Bosah Yeh Meri Aankhon Ke Din Phiray The
Jhuka Tha Majray Ko Arsh-e-Aala Giray Thay Sajday Mein Bazm-e-Bala
Yeh Aankhein Qadmon Se Mal Rahi Thin Woh Gard Qurban Ho Rahe The
Ziyaen Kuch Arsh Par Yeh Aayin Ke Saari Qandeelain Jhilmalayin
Huzoor-e-Khursheed Kya Chamakta Chiraagh Munh Apna Dekhtay The
Yehi Sama Tha Ke Paik-e-Rehmat Khabar Yeh Laya Ke Chaliye Hazrat
Tumhari Khatir Kushaada Hain Jo Kaleem Par Band Rastay The
Barha Aye Muhammad Qareen Ho Ahmad Qareeb Aa Sarwar-e-Mumajjid
Nisar Jaun Yeh Kya Nida Thi Yeh Kya Sama Tha Yeh Kya Mazay The
Tabarak-Allah Shaan Teri Tujhi Ko Zaiba Hai Be-Niyaazi
Kahin To Woh Josh-e-Lan-Taraani Kahin Taqazay Wisaal Ke The
Khirad Se Keh Do Ke Sar Jhuka Lay Guman Se Guzray Guzarnay Walay
Paray Hain Yahan Khud Jihat Ko Laalay Kisay Bataen Kidhar Gaye The
Suraagh-e-Ain-O-Mata Kahan Tha Nishan-e-Kaif-O-Ila Kahan Tha
Na Koi Raahi Na Koi Saathi Na Sang-e-Manzil Na Marhalay The
Udhar Se Payham Taqazay Aana Idhar Tha Mushkil Qadam Barhana
Jalal O Haibat Ka Samna Tha Jamaal O Rehmat Ubhaartay The
Badhe To Lekin Jhijhakte Darte Haya Se Jhukte Adab Se Rukte
Jo Qurb Unhi Ki Rawish Pe Rakhtay To Lakhon Manzil Ke Faasle The
Par Un Ka Badhna To Naam Ko Tha Haqiqatan Fal Tha Udhar Ka
Tanazzulon Mein Taraqqi Afza Dana Tadal-la Ke Silsile The
Hua Na Aakhir Ke Aik Bajra Tamawuj-e-Bahr-e-Hu Mein Ubhra
Dana Ki Godi Mein Un Ko Lay Kar Fana Ke Langar Utha Diye The
Kise Mile Ghaat Ka Kinara Kidhar Se Guzra Kahan Utara
Bhara Jo Misal-e-Nazar Tarara Woh Apni Aankhon Se Khud Chhupay The
Uthay Jo Qasr-e-Dana Ke Parday Koi Khabar De To Kya Khabar De
Wahan To Jaa Hi Nahin Du’i Ki Na Keh Ke Woh Bhi Na Thay Aray The
Woh Bagh Kuch Aisa Rang Laya Ke Ghuncha-O-Gul Ka Farq Uthaya
Girih Mein Kaliyon Ki Bagh Phoolay Gulon Ke Tukmay Lagay Hue The
Muheet O Markaz Mein Farq Mushkil Rahay Na Faasil Khutoot-e-Wasil
Kamanen Hairat Mein Sar Jhukaye Ajeeb Chakkar Mein Daairay The
Hijaab Uthnay Mein Lakhon Parday Har Aik Parday Mein Lakhon Jalway
Ajab Ghari Thi Ke Wasl O Firqhat Janam Ke Bichray Galay Milay The
Zabanain Sookhi Dikha Ke Maujein Tarap Rahi Thin Ke Pani Paen
Bhanwar Ko Yeh Zauf-e-Tishnagi Tha Ke Halqay Aankhon Mein Par Gaye The
Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Baatin Wohi Hai Zaahir
Usi Ke Jalway Usi Se Milna Usi Se Us Ki Taraf Gaye The
Kaman-e-Imkaan Ke Jhoothay Nuqto Tum Awwal Aakhir Ke Phair Mein Ho
Muheet Ki Chaal Se To Poochho Kidhar Se Aaye Kidhar Gaye The
Idhar Se Thin Nazar Shah Namazein Idhar Se Inaam-e-Khusrawi Mein
Salam O Rehmat Ke Haar Gundh Kar Gulu-e-Pur Noor Mein Paray The
Zaban Ko Intezaar-e-Guftan To Gosh Ko Hasrat-e-Shaneedan
Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Sunni Thi Sun Chukay The
Woh Burj-e-Bathha Ka Maah-Paara Bahisht Ki Sair Ko Sudhaara
Chamak Pe Tha Khuld Ka Sitara Ke Is Qamar Ke Qadam Gaye The
Saroor-e-Maqdam Ki Roshni Thi Ke Taabishon Se Meh-e-Arab Ki
Jinaan Ke Gulshan Thay Jhaarr Farshi Jo Phool Thay Sab Kanwal Banay The
Tarab Ki Naazish Ke Haan Lachkiye Adab Woh Bandish Ke Hil Na Sakiye
Yeh Josh-e-Ziddain Tha Ke Poday Kashakash-e-Arra Ke Talay The
Khuda Ki Qudrat Ke Chand-e-Haq Ne Karon Manzil Mein Jalwa Kar Ke
Abhi Na Taron Ki Chhaon Badli Ke Noor Ke Tadray Aa Liye The
Nabi-e-Rehmat Shafi-e-Ummat Raza Pe Lillah Ho Inayat
Ise Bhi Un Khil’aton Se Hissa Jo Khaas Rehmat Ke Waan Batay The
Sana-e-Sarkar Hai Wazifa Qubool-e-Sarkar Hai Tamanna
Na Shayari Ki Hawas Na Parwa Rawi Thi Kya Kaisay Qafiye The


وہ سرورِ کشورِ رسالت
وہ سرورِ کشورِ رسالت جو عرش پر جلوہ گر ہوئے تھے
نئے نِرالے طرب کے ساماں عرب کے مہمان کے لئے تھے
بہار ہے شادیاں مبارک چمن کو آبادیاں مبارک
مَلک فلک اپنی اپنی لے میں یہ گھر عنادِل کا بولتے تھے
وہاں فلک پر یہاں زمیں میں رَچی تھی شادی مچی تھی دُھومیں
اُدھر سے اَنوار ہنستے آتے اِدھر سے نفحات اُٹھ رہے تھے
یہ چُھوٹ پڑتی تھی اُن کے رُخ کی کہ عرش تک چاندنی تھی چھٹکی
وہ رات کیا جگمگا رہی تھی جگہ جگہ نَصْب آئنے تھے
نئی دُلھن کی پھبن میں کعبہ نکھر کے سنورا سنور کے نِکھرا
حجر کے صدقے کمر کے اِک تِل میں رنگ لاکھوں بناؤ کے تھے
نظر میں دُولھا کے پیارے جلوے حیا سے محراب سر جھکائے
سیاہ پردے کے مُنھ پر آنچل تجلّی ذات بحت سے تھے
خوشی کے بادل اُمنڈ کے آئے دِلوں کے طاؤس رنگ لائے
وہ نغمۂ نعت کا سَماں تھا حرم کو خود وَجد آرہے تھے
یہ جُھوما میزابِ زَر کا جُھومر کہ آرہا کان پَر ڈَھلک کر
پُھوہار برسی تو موتی جھڑ کر حطیم کی گود میں بھرے تھے
دُلھن کی خوشبو سے مست کپڑے نسیم گستاخ آنچلوں سے
غلافِ مشکیں جو اُڑ رہا تھا غزال نافے بسا رہے تھے
پہاڑیوں کا وہ حُسْنِ تزئیں وہ اُونچی چوٹی وہ نازو تمکیں !
صبا سے سبزہ میں لہریں آتیں دُوپٹے دَھانی چُنے ہوئے تھے
نہا کے نہروں نے وہ چمکتا لباس آبِ رَواں کا پہنا
کہ موجیں چھڑیاں تھیں دَھار لچکا حبابِ تاباں کے تھل ٹکے تھے
پرانا پر داغ مَلگَجا تھا اُٹھا دیا فرش چاندنی کا
ہجومِ تارِ نگہ سے کوسوں قدم قدم فرش بادْلے تھے
غبار بن کر نثار جائیں کہاں اب اُس رَہ گزر کو پائیں
ہمارے دل حوریوں کی آنکھیں فرشتوں کے پر جہاں بچھے تھے
خدا ہی دے صبر جانِ پر غم دِکھاؤں کیوں کر تجھے وہ عالم
جَب اُن کو جھرمٹ میں لے کے قدسی جناں کا دُولھا بنا رہے تھے
اُتار کر اُن کے رُخ کا صَدقہ یہ نور کا بٹ رہا تھا باڑا
کہ چاند سورج مچل مچل کر جبیں کی خیرات مانگتے تھے
وُہی تو اب تک چھلک رہا ہے وُہی تو جوبن ٹپک رہا ہے
نہانے میں جو گرا تھا پانی کٹورے تاروں نے بھر لیے تھے
بچا جو تلووں کا اُن کے دَھووَن بنا وہ جنت کا رنگ و رَوغن
جنھوں نے دُولھا کی پائی اُترن وہ پھول گلزارِ نور کے تھے
خبر یہ تحویل مہر کی تھی کہ رُت سُہَانی گھڑی پھرے گی
وہاں کی پوشاک زیب تن کی یہاں کا جوڑا بڑھا چکے تھے
تجلّیِ حق کا سہرا سر پر صلوٰۃ و تسلیم کی نچھاوَر
دو رویہ قدسی پَرے جما کر کھڑے سلامی کے واسطے تھے
جو ہم بھی واں ہوتے خاکِ گلشن لپٹ کے قدموں سے لیتے اُترن
مگر کریں کیا نصیب میں تو یہ نامُرادی کے دِن لکھے تھے
ابھی نہ آئے تھے پشت زیں تک کہ سَر ہوئی مغفرت کی شِلِّک
صَدا شفاعت نے دی مُبارک! گناہ مستانہ جھومتے تھے
عجب نہ تھا رخش کا چمکنا غزال دَم خوردَہ سا بھڑکنا
شعاعیں بکے اُڑا رہی تھیں تڑپتے آنکھوں پہ صاعقے تھے
ہجومِ اُمید ہے گھٹاؤ مُرادیں دے کر انھیں ہٹاؤ
اَدَب کی باگیں لیے بڑھاؤ ملائکہ میں یہ غُلْغُلے تھے
اُٹھی جو گردِ رہِ مُنوَّر وہ نور برسا کہ راستے بھر
گھرے تھے بادل بھرے تھے جل تھل اُمَنڈ کے جنگل اُبل رہے تھے
سِتَم کیا کیسی مَت کٹی تھی قمر! وہ خاک اُن کے رَہ گزر کی
اُٹھا نہ لایا کہ ملتے ملتے یہ داغ سب دیکھتا مٹے تھے
براق کے نقشِ سم کے صدقے وہ گل کھلائے کہ سارے رَستے
مہکتے گلبن لہکتے گلشن ہَرے بھرے لہلہا رہے تھے
نمازِ اَقصٰی میں تھا یہی سِرّ عیاں ہوں مَعنیِ اَوَّل آخر
کہ دَست بستہ ہیں پیچھے حاضر جو سلطنت آگے کر گئے تھے
یہ اُن کی آمد کا دَبدبہ تھا نکھار ہر شَے کا ہو رہا تھا
نجوم و افلاک جام و مِینا اُجالتے تھے کھنگالتے تھے
نقاب اُلٹے وہ مہر اَنور جلالِ رُخسار گرمیوں پر
فلک کو ہیبت سے تپ چڑھی تھی تپکْتے اَنجُم کے آبلے تھے
یہ جوشِشِ نور کا اَثر تھاکہ آبِ گوہر کمر کمر تھا
صفائے رہ سے پھسل پھسل کر ستارے قدموں پہ لوٹتے تھے
بڑھا یہ لہرا کے بحر وَحدت کہ دُھل گیا نامِ ریگ کثرت
فلک کے ٹِیلوں کی کیا حقیقت یہ عرش و کرسی دو بُلبُلے تھے
وہ ظِلِ رَحمت وہ رُخ کے جلوے کہ تارے چھپتے نہ کھلنے پاتے
سنہری زَرْبَفْت اُودِی اَطلس یہ تھان سب دُھوپ چھاؤں کے تھے
چلاوہ سروِ چَمَاں خراماں نہ رُک سکا سدرہ سے بھی دَاماں
پلک جھپکتی رہی وہ کب کے سب اِین وآں سے گزر چکے تھے
جھلک سی اِک قدسیوں پر آئی ہوا بھی دامن کی پھرنہ پائی
سواری دُولھا کی دُور پہنچی برات میں ہوش ہی گئے تھے
تھکے تھے رُوْحُ الاَمِیں کے بازُو چھٹا وہ دامن کہاں وہ پہلو
رِکاب چھوٹی اُمید ٹوٹی نگاہِ حسرت کے وَلولے تھے
رَوِش کی گرمی کو جس نے سوچا دِماغ سے اِک بھبو کا پھُوٹا
خرد کے جنگل میں پھول چمکا دَہر دَہر پیڑ جل رہے تھے
جِلو میں جو مرغِ عقل اُڑے تھے عجب برے حالوں گرتے پڑتے
وہ سدرہ ہی پر رَہے تھے تھک کر چڑھا تھا دَم تیور آگئے تھے
قوی تھے مرغانِ وَہم کے پَر اُڑے تو اُڑنے کو اَور دَم بھر
اُٹھائی سینے کی ایسی ٹھوکر کہ خونِ اَندیشہ تھوکتے تھے
سنا یہ اتنے میں عرشِ حق نے کہ لے مبارک ہوں تاج والے
وہی قدم خیر سے پھر آئے جو پہلے تاجِ شرف تِرے تھے
یہ سن کے بے خود پکار اُٹھا نثار جاؤں کہاں ہیں آقا
پھر ان کے تلووں کا پاؤں بوسہ یہ میری آنکھوں کے دِن پھرے تھے
جھکا تھا مجرے کو عرشِ اَعلیٰ گرے تھے سجدے میں بزمِ بالا
یہ آنکھیں قدموں سے مَل رہا تھا وہ گرد قربان ہورہے تھے
ضیائیں کچھ عرش پر یہ آئیں کہ ساری قندیلیں جھلملائیں
حضورِ خورشید کیا چمکتے چراغ منھ اپنا دیکھتے تھے
یہی سَمَاں تھا کہ پَیکِ رحمت خبر یہ لایا کہ چلیے حضرت
تمہاری خاطر کشادہ ہیں جو کلیم پر بند راستے تھے
بڑھ اے محمد قریں ہو احمد قریب آ سرورِ مُمَجَّد
نثار جاؤں یہ کیا ندا تھی یہ کیا سَمَاں تھا یہ کیا مزے تھے
تَبَارَکَ اللہ شان تیری تجھی کو زیبا ہے بے نیازی
کہیں تو وہ جوشِ لَنْ تَرَانِی کہیں تقاضے وِصال کے تھے
خرد سے کہدو کہ سر جھکا لے گماں سے گزرے گزرنے والے
پڑے ہیں یاں خود جِہَت کو لالے کسے بتائے کدھر گئے تھے
سُراغ اَین و متیٰ کہاں تھا نشانِ کیف و اِلیٰ کہاں تھا
نہ کوئی راہی نہ کوئی ساتھی نہ سنگِ منزل نہ مرحلے تھے
اُدھر سے پیہم تقاضے آنا اِدھر تھا مشکل قَدَم بڑھانا
جلال وہیبت کا سامنا تھا جمال و رحمت اُبھارتے تھے
بڑھے تو لیکن جھجھکتے ڈرتے حیا سے جُھکتے ادب سے رکتے
جو قرب انھیں کی رَوِش پہ رکھتے تو لاکھوں منزل کے فاصلے تھے
پر ان کا بڑھنا تو نام کو تھا حقیقۃً فِعل تھا اُدھر کا
تَنَزُّلوں میں ترقی اَفزا دَنیٰ تَدَلّٰے کے سلسلے تھے
ہوا نہ آخر کہ ایک بجْرا تَمَوُّجِ بحر ہُو میں اُبھرا
دَنیٰ کی گودی میں ان کو لے کر فنا کے لنگراُٹھا دِیے تھے
کسے ملے گھاٹ کا کنارا کدھر سے گزرا کہاں اُتارا
بھرا جو مثل نظر طرارا وہ اپنی آنکھوں سے خود چھپے تھے
اُٹھے جو قصرِدنیٰ کے پردے کوئی خبر دے تو کیا خبر دے
وہاں تو جاہی نہیں دُوئی کی نہ کہہ کہ وہ بھی نہ تھے ارے تھے
وہ باغ کچھ ایسا رنگ لایا کہ غنچَہ و گل کا فرق اُٹھایا
گرہ میں کلیوں کی باغ پھولے گلوں کے تکمے لگے ہوئے تھے
محیط و مرکز میں فرق مشکل رہے نہ فاصِل خطوط واصِل
کمانیں حیرت میں سر جھکائے عجیب چَکر میں دائرے تھے
حجاب اٹھنے میں لاکھوں پردے ہرایک پر دے میں لاکھوں جلوے
عجب گھڑی تھی کہ وصل و فرقت جنم کے بچھڑے گلے ملے تھے
زبانیں سوکھی دکھا کے موجیں تڑپ رہی تھیں کہ پانی پائیں
بھنور کو یہ ضعف تشنگی تھا کہ حلقے آنکھوں میں پڑ گئے تھے
وہی ہے اوّل وہی ہے آخر وہی ہے باطن وہی ہے ظاہر
اُسی کے جلوے اُسی سے ملنے اُسی سے اُس کی طرف گئے تھے
کمانِ امکاں کے جھوٹے نقطو تم اوّل آخر کے پھیرمیں ہو
محیط کی چال سے تو پوچھو کدھر سے آئے کدھر گئے تھے
ادھر سے تھیں نذرشہ نمازیں ادھر سے انعامِ خسروی میں
سلام و رحمت کے ہار گندھ کر گلوئے پر نور میں پڑے تھے
زبان کو اِنتظارِ گُفْتَن تو گوش کو حسرتِ شنیدن
یہاں جو کہنا تھا کہہ لیا تھا جو بات سننی تھی سن چکے تھے
وہ برج بطحا کا مَاہ پارہ بہشت کی سَیر کو سدھارا
چمک پہ تھا خلد کا ستارہ کہ اس قمر کے قدم گئے تھے
سرور مَقْدَم کی روشنی تھی کہ تابشوں سے مہِ عرب کی
جناں کے گلشن تھے جھاڑ فرشی جو پھول تھے سب کنول بنے تھے
طرب کی نازِش کہ ہاں لچکیے اَدَب وہ بندش کہ ہل نہ سکیے
یہ جوشِ ضِدَّین تھا کہ پودے کشاکشِ اَرَّہ کے تلے تھے
خدا کی قدرت کہ چاند حق کے کروروں منزل میں جلوہ کرکے
ابھی نہ تاروں کی چھاؤں بدلی کہ نور کے تڑکے آلیے تھے
نبی رحمت شفیعِ اُمّت! رضاؔ پہ لِلّٰہ ہو عنایت
اسے بھی ان خلعتوں سے حصہ جو خاص رَحمت کے واں بٹے تھے
ثنائے سرکار ہے وَظیفہ قبولِ سَرکار ہے تَمَنَّا
نہ شاعری کی ہوس نہ پَروا رَوِی تھی کیا کیسے قافیے تھے
Hafiz Tahir Qadri – Complete Qaseeda e Meraj – Wo Sarware Kishware Risalat – Shab e Meraj Kalam 2025
Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
✨ Neeche apna feedback likhna na bhoolen!
– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر –


Pingback: Qasida E Meraj – Wo Sarware Kishware Risalat | Complete Lyrics & Explanation - Part 1 - Islam Is The Great