Tala Al Badru Alayna Story, Lyrics and Meaning

Story of Tala Al Badru Alayna

“Tala al Badru Alayna” wo azeem Naat Sharif hai jo Ashaab e Kiram ke bachchiyon ne padhi thi, jab Huzoor ﷺ hijrat karke Makkah Mukarramah se Madinah Munawwarah tashreef laaye.
Jab Aap ﷺ Madinah ke south side se dakhil hue, to ek pahadi thi jise Saniyat-ul-Wada (ثنية الوداع) kaha jata tha. Yahi wo maqam tha jahan se Rasoolullah ﷺ Madinah me nazar aaye aur bachchiyan khushi se be-ekhtiyaar ye Naat Shareef padne lagi:

“Tala‘al Badru ‘Alayna Min Thaniyatil Wada’…”

Tala Al Badru Alayna Story and Meaning | Most Famous Arabic Naat Lyrics

Saniyat-ul-Wada – Historical Place

Saniyat-ul-Wada Madinah Sharif ka ek purana maqam tha, jahan se log safar par nikalte ya aane walon ka istiqbal karte the. Is maqam ko “Valley of Wada” bhi kaha jata hai. Ye Madinah ka southern route tha jahan se Huzoor ﷺ ne dakhil farmaya. Ashaab e Kiram ke bachche aur bachchiyan Madinah ke is maqam par Huzoor ﷺ ka khair maqdam (welcome) karne aaye aur unhon ne dil se ye kalimat padhe jo aaj tak musalmano ke dilon me roshan hain.

Tala Al Badru Alayna in Arabic Lyrics

طَلَعَ الْبَدْرُ عَلَيْنَا
مِنْ ثَنِيَّاتِ الْوَدَاعِ
وَجَبَ الشُّكْرُ عَلَيْنَا

مَا دَعَا لِلَّهِ دَاعٍ
أَيُّهَا الْمَبْعُوثُ فِينَا
جِئْتَ بِالْأَمْرِ الْمُطَاعِ
جِئْتَ شَرَّفْتَ الْمَدِينَةَ
مَرْحَبًا يَا خَيْرَ دَاعٍ

Tala Al Badru Alaina in English

The white moon rose over us
From the valley of Wada’
And we owe it to show thankfulness
Where the call is to Allah

O you who were raised among us,
Coming with the words to be obeyed,
You have ennobled this city,
Welcome, O caller to Allah’s way.

Tala Al Badru Alaina Meaning

Tala‘al Badru ‘Alayna Min Thaniyatil Wada’
Hum par mukammal chand tulu hua (nikla) Saniyat-ul-Wada se.

Wajaba Shukru ‘Alayna Ma Da‘a Lillahi Da‘
Aur hum par shukr ada karna wajib hua, jo Allah ki taraf se dawat laaya.

Yani jab Huzoor ﷺ Madinah me tashreef laaye, to logon ke dil khushi se bhar gaye aur unhon ne ye Naat padkar apna jazba-e-muhabbat aur shukriya izhar kiya. aur poore duniya ko bataya ki Huzoor ﷺ ka aana hum par is baat ka wajib hai ki hum allah ka shukr ada karen.

Ayyuha-al Mab’uthu Feena Ji’ta bi-al Amri Muta’
Aye wo shaks jo humme mab’uth (zahir) hue, aap woh baat le kar aaye jiska itteba (paabandgi) ki jaye.

Ji’ta Sharafta-al Madeenah Marhaban Ya Khayra Da’
Aap ne Madinah ko sharf bakhsha, khush aamdeed hai aapko, aye khair karne wale!

Is se zahir hota hai ke Madinah Sharif ki izzat aur roshanai Rasoolullah ﷺ ke qadmon ki barkat se hui.

Ziyarat Youtube Video Saniyatul Wida

Eid Milad un Nabi Ka Saboot

“Tala’al Badru Alayna” sirf ek purani Naat nahi, balki Milad-un-Nabi ﷺ ka asal jazba samjha ja sakta hai.
Jab Huzoor ﷺ Madinah Sharif me tashreef laaye, to logon ne unke aane par khushi, mohabbat aur shukriya ka izhar kiya. Yahi wo jazba hai jo Milad-un-Nabi ﷺ ka markaz hai. Madinah ke bachchon ne chand ko dekh kar kaha:

“Hum par mukammal chand nikla Saniyat-ul-Wada se.”

Iska matlab tha ke Rasoolullah ﷺ ke aane se unki zindagi roshan ho gayi. Aaj bhi jab Musalmaan Eid Milad-un-Nabi ﷺ manate hain, to wo isi Noor aur Rahmat ka jashn manate hain. Milad humein ye sabak deta hai ke:

  • Nabi ﷺ ke aane par shukr ada karna ibadat hai.
  • Unki wiladat par khushi manana Sunnat e Sahaba hai.
  • Milad ek aisa din hai jo imaan aur mohabbat dono ko taaza karta hai.
  • Har Milad humein unki sunnat aur paighaam par amal karne ki yaad dilata hai.

Jis tarah Madinah walon ne Rasoolullah ﷺ ka khair maqdam karte hue kaha:

“Marhaban Ya Khayra Da’” — “Khush Aamdeed, Aye Khair Karne Wale!”

“Ahlan wa Sahlan Ya Habib Allah ﷺ — Aap aaye, duniya roshan ho gayi.”

“Tala’al Badru Alayna” humein ye dars deta hai ke Milad ka maqsad sirf jashn nahi, balki shukriya aur mohabbat ka izhar hai. Ye wo roohani message hai jo Musalmaanon ko ekta, aman aur adab ka sabak deta hai. Aur hamesha kehta hai:

Hai Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hai Unhi Ke Jalwa Mein Sab Nihan
Bane Subh Tabish-e-Mehr Se Rahe Pesh-e-Mehr Ye Jaan Nahin

(Read full lyrics here)

FAQs – Frequently Asked Questions

Conclusion

“Tala Al Badru Alaina” humein yaad dilata hai ke Nabi ﷺ ki arrival se dunya roshan ho gayi aur unki aamad ne har dil me khushi aur peace bhar di. Milad-un-Nabi ﷺ ka asal maqsad hai shukriya, love, aur respect ka izhar, aur unki teachings ko yaad rakhna. Ye humein ye bhi yaad dilata hai ke Nabi ﷺ ke light se hamari zindagi hamesha roshan rahe aur hum apni zindagi unki guidance aur mohabbat ke saath jeeyein.


Aapki Raaye Hamare Liye Aham Hai!
Agar aapko yeh Mazmoon pasand aaya ho ya aapke dil mein koi sujhaav ho, toh neeche comment zaroor karein. Aapka feedback humein behtar content banane mein madad karta hai.
Dosto ke saath bhi share karna na bhoolen!
Shukriya!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر


Scroll to Top