Haa Ye Baat Sach Hai Haqiqat Yahi Hai | Hasrat E Didar E Nabi

Haa Ye Baat Sach Hai Haqiqat Yahi Hai | Hasrat E Didar E Nabi

Roman Urdu

Haa Ye Baat Sach Hai, Haqiqat Yahi Hai
Nabi Aap Ko Maine Dekha Nahi Hai
Na Daur-e-Muhammad Me Paida Hua Mai
Na Saathi Safar Ka Kabhi Ban Saka Mai
Na Aaqa Ki Awaaz Tak Sun Saka Mai
Na Ghazwat Me Mushrikoñ Se Lada Mai
Na Hijrat Ki Lazzat Hui Mujh Ko Hasil
Na Ho Paaya Ansaar Ki Saf Me Shamil
Nabi Aap Jis Dam The Ghaar-e-hira Me
Koi Zaad-e-raah Bhi Na Pahocha Saka Mai
Magar Sach Hai Ye Bhi Qasam Hai Khuda Ki
Muhabbat Mujhe Aap Se Hai Nabi Ji

Sallay Ala Sayyidina
Sallallahu Alaihi Wasallam
Sallay Ala Sayyidina
Sallallahu Alaihi Wasallam

Mujhe Aapke Ghar Se, Dar Se Muhabbat
Safar Se Muhabbat, Hajar Se Muhabbat
Mujhe Aapke Har Pahar Se Muhabbat
Har Ek Raaste Raah-guzar Se Muhabbat
Wo Imaan-e-shaqqul-qamar Se Muhabbat
Zaqan Se, Dahan Se, Nazar Se Muhabbat
Nabuwwat Ki Jisne Gawahi Di Aaqa
Haa Us Go Se, Us Hajar Se Muhabbat
Ye Bedhank Si Meri Muhabbat Ka Tohfa
Kya Uski Ijabat Ka Hai Koi Rasta

Sallay Ala Sayyidina
Sallallahu Alaihi Wasallam
Sallay Ala Sayyidina
Sallallahu Alaihi Wasallam

Na Abu Bakar Sa Mai Rafeeq-e-safar Hoon
Na Usman O Haider Hoon, Na Mai Umar Hoon
Na Talha, Na Hamza, Saeed O Saad Hoon
Anas Jaisa Khaadim, Na Khalid Asad Hoon
Na Mein Ibn-e-awf, O Zubair O Ubaida
Na Mai Bood O Jaana, Maaz O Qatada
Na Arqam, Na Akhnas, Bilal Aur Yahya
Na Misl-e-yasaar Aur Yasir Na Ya’la
Mai In Sab Ke Qadmon Ke Zarron Ka Zarrah
Magar Aye Nabi, Aapka Hoon Mai Sheedah

Sallay Ala Sayyidina
Sallallahu Alaihi Wasallam
Sallay Ala Sayyidina
Sallallahu Alaihi Wasallam

اردو

یہ بات سچ حقیقت یہی ہے
نبی آپ کو میں نے دیکھا نہیں ہے
نہ دورِ محمدؐ میں پیدا ہوا میں
نہ ساتھی سفر کا کبھی بن سکا میں
نہ آقا کی آواز تک سن سکا میں
نہ غزوات میں مشرکوں سے لڑا میں
نہ ہجرت کی لذت ہوئی مجھ کو حاصل
نہ ہو پایا انصار کی صف میں شامل
نبی آپ جس دم تھے غارِ حرا میں
کوئی زادِ راہ بھی نہ پہنچا سکا میں
مگر سچ ہے یہ بھی قسم ہے خدا کی
محبت مجھے آپ سے ہے نبی جی

صلِّ علیٰ سیدِنا
صلی اللہ علیہ وسلم
صلِّ علیٰ سیدِنا
صلی اللہ علیہ وسلم

مجھے آپ کے گھر سے، در سے محبت
سفر سے محبت، حجر سے محبت
مجھے آپ کے ہر پہر سے محبت
ہر ایک راستے، راہگزر سے محبت
وہ ایمانِ شقُّ القمر سے محبت
ذقن سے، دہن سے، نظر سے محبت
نبوت کی جس نے گواہی دی آقا
ہاں اُس گو سے اُس حجر سے محبت
یہ بے ڈھنگ سی میری محبت کا تحفہ
کیا اُس کی اجابت کا ہے کوئی رستہ

صلِّ علیٰ سیدِنا
صلی اللہ علیہ وسلم

نہ ابوبکر سا میں رفیقِ سفر ہوں
نہ عثمان و حیدر ہوں نہ میں عمر ہوں
نہ طلحہ نہ حمزہ، سعید و سعد ہوں
انس جیسا خادم نہ خالد اسد ہوں
نہ میں ابنِ عوف و زبیر و عبیدہ
نہ میں بُود و جانا معاذ و قتادہ
نہ ارقم نہ اخنس، بلال اور یحییٰ
نہ مثلِ یسار اور یاسر نہ یعلٰی
میں اِن سب کے قدموں کے ذروں کا ذرہ
مگر اے نبی! آپ کا ہوں میں شیدا

صلِّ علیٰ سیدِنا
صلی اللہ علیہ وسلم

Listen this Beautiful Kalam


Aapka Jazbaat Hamare Liye Qeemati Hai
Agar aapko yeh paakiza kalam pasand aaya, toh apne dil ke ehsaasat aur raaye zaroor hum tak pohunchayein.
Har comment hamare liye himmat aur dua ka sabab hai.
Apni duaon mein yaad rakhein. Allah Ta’ala hum sabko apne Habib ﷺ ki sachi mohabbat naseeb farmaaye.
Neeche apna feedback likhna na bhoolen!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top