11vi Shareef Kya Hai? | Ghaus e Paak Ki Niyaz – Shaikh Abdul Qadir Jilani

Aksar aapne suna hoga ke log 11vi Shareef karte hain. Lekin sawal ye hai ke asal mein 11vi hai kya? Aur kyun manai jati hai? Aaiye isko aasan alfazon mein samajhte hain.

11vi Shareef Kya Hai? | Ghaus-e-Azam Dastageer Ki Niyaz

11vi Shareef Kya Hai?

11vi Shareef dar asal Esal e Sawab hai jo Huzoor Ghaus-ul-Azam Dastageer Sayyiduna Shaykh Abdul Qadir Jeelani رحمۃ اللہ علیہ ki wafat ke silsile mein hota hai.
Unka wisaal 11 Rabi-ul-Akhir 561 Hijri ko Baghdad Shareef mein hua. Aapki umar ke bare mein riwayat mein thoda ikhtilaf hai, kuch ne 82 saal likha hai, lekin zyada sahih riwayat 90 saal ki hai. Aaj ko unke wisaal ko 880 saal se zyada guzar chuke hain, magar unka zikr aur asar abhi bhi dilon ko roshan karta hai.

11vi Mein Kya Kiya Jata Hai?

11vi koi naya deen ya nayi ibadat nahi hai, balki ye ek silsila hai jisme:

  • Quran ki tilawat ki jati hai
  • Durood o Salaam aur Zikr o Azkaar ki mehfil sajti hai
  • Naat o Manqabat padhe jate hain
  • Gareebon ko khana khilaya jata hai
  • Sadqah o khairat kiya jata hai
  • Aur Ghaus-e-Azam رضی اللہ عنہ ki sirat aur taaleemaat par bayan hota hai

Yani 11vi ka asal maqsad yaadgar aur sawab ka zariya hai.

Quran Se Daleel

Allah Ta’ala farmata hai:

وَ الَّذِیْنَ جَآءُوْا مِنْۢ بَعْدِهِمْ یَقُوْلُوْنَ رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا وَ لِاِخْوَانِنَا الَّذِیْنَ سَبَقُوْنَا بِالْاِیْمَانِ
(Surah Hashr, Ayat 10)

Tarjuma: “Aur jo unke baad aaye, wo arz karte hain: Ai hamare Rabb! Humein aur hamare un bhaiyon ko bakhsh de jo humse pehle iman laaye.”

Yahan se saaf sabit hai ke guzar chuke ahl-e-iman ke liye dua aur Esal-e-Sawab karna Qur’an ka hukm hai.

Hadees Se Daleel

Sahih Bukhari mein riwayat hai:

Ek sahabi ne arz ki:
“Ya RasoolAllah ﷺ, meri maa ka achanak inteqal ho gaya. Mujhe lagta hai agar unhe moqa milta to wo sadaqah karti. Kya agar main unki taraf se sadaqah karun to unhe sawab milega?”

RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Haan, unhe sawab milega.”
(Sahi Bukhari, Vol-1, Page-186)

Yani apne guzre hue rishtedaron ya buzurgon ke liye amal karna aur sawab unko pohchana bilkul jaayez hai.

Fiqh Hanafi Ki Roshni Mein

Radd-ul-Muhtar mein likha hai:

“Insaan apne amal ka sawab dusre ko kar sakta hai, chahe wo namaz ho, roza ho, sadaqah ho ya koi aur amal.”
(Raddul Mohtar, Ala Durr-e-Mukhtar, V-3, P-180)

Yani fuqaha ke nazdeek bhi ye amal jaayez hai.

Sirf 11 Tareekh Hi Kyun?

Ab sawal hota hai ke sirf 11 Rabi-ul-Akhir hi kyun?
To jawab ye hai ke is din ko farz ya wajib nahi samjha jata. Balki sirf logon ko jama karne aur yaad banaye rakhne ke liye ek din mukarrar kar liya gaya. Warna Esal e Sawab saal ke kisi bhi din kiya ja sakta hai.
Kuch log sirf ek din karte hain, kuch poora mahina, aur kuch har mahine ki 11 tareekh ko karte hain. Sabhi surat mein jaayez hai.

Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رحمۃ اللہ علیہ Ka Bayan

Aap farmate hain:

“Huzoor ﷺ ne peer ka roza rakha. Kya agar Itwaar ya Mangal ko hota to na hota? Kya isse ye samajhna chahiye ke Huzoor ﷺ ne us roze ko wajib samjha? Nahi. Bas yaad ke liye ek din tay kiya gaya. Yahi hukm teejay, chehlum aur Awliya ki niaz ka hai.”
(Fatawa Razviyah, Vol-9, Page-605)

Yani din ka taayyun sirf yaad ke liye hai, na ke kisi ibadat ko wajib samajhne ke liye.

11vi Shareef Kya Hai? | Ghaus-e-Azam Dastageer Ki Niyaz

Roohani Paigham

11vi ka asal paigham ye hai ke Musalman apne buzurgon ko yaad karke:

  • Unke liye dua karein
  • Unki sirat se sabak lein
  • Aur apne aamal se unke liye Esal e Sawab karein

Huzoor Ghaus-e-Azam رضی اللہ عنہ ko Allah ne jo maqam ata kiya wo unke baad sirf Imam Mahdi علیہ الرحمہ ko milega. Is liye unki yaad ki mehfil sirf yaadgar nahi, balki rooh ko roshan karne ka zariya hai.

Frequently Asked Questions (FAQs)

Conclusion

11vi Shareef koi nayi cheez nahi, balki Qur’an, Hadees aur Aslaaf se sabit amal hai. Isme shirk ya haram ka tasawwur nahi. Bas ek baat yaad rakhein ke 11vi ka ihtemaam shar’i hudood mein ho aur har wo kaam jis se shariat rokti hai, usse bacha jaye.


Aapki Raaye Hamare Liye Aham Hai!
Agar aapko yeh Mazmoon pasand aaya ho ya aapke dil mein koi sujhaav ho, toh neeche comment zaroor karein. Aapka feedback humein behtar content banane mein madad karta hai.
Dosto ke saath bhi share karna na bhoolen!
Shukriya!

– Jazakallahu Khair / جزاک اللہ خیر


Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top